hamsafar ban ke ham saath hain aaj bhi
phir bhi hai ye safar ajnabi ajnabi
raah bhi ajnabi mod bhi ajnabi
jaayen ham kidhar ajnabi ajnabi
zindagi ho gayi hai sualgta safar
duur tak aa raha hai dhvuan sa nazar
jane kis mod par kho gayi har khushi
de ke dard-e-jigar ajnabi ajnabi
ham ne chun chun ke tinke banaya tha jo
aashiyaan hasaraton se sajaya tha jo
hai chaman mein vahi aashiyaan aaj bhi
lag raha hai magar ajnabi ajnabi
kis ko mallum tha din ye bhi aayenge
mausamon ki tarah dil bhi badal jaayenge
din hua ajnabi raat bhi ajnabi
har ghadii har pehar ajnabi ajnabi
No comments:
Post a Comment