Showing posts with label naresh kumar shad ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label naresh kumar shad ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009

karam aise kiye hain doston ne

dil-e-pur_aarzu nakaam ho kar
zyada khuubsurat ho gaya hai
karam aise kiye hain doston ne
ki har dushman pe pyar aane laga hai
tera gham toh meri jaan-e-tamnna
teri suurat se badhkar dilruba hai
jab aaye toh ujala ho gaya tha
gaye toh phir vahi ghar ki faza hai
nahin hai apna gham ae 'shad' jab se
zamane bhar ka gham apna liya hai

Saturday, June 20, 2009

naresh kumar shad ki shayyiri

phir iss duniya se ummid-e-waffa hai
tujhe ae zindgi kya ho gaya hai
badi zaalim nihaayat bewaffa hai
duniya phir bhi kitni Khush_numa hai
har ik apne hi ghum mein mubtila hai
kisi ke dard se kaun aashna hai
mere naqqad meri shayari toh
mere toote huye dil ki sada hai
kahan hun 'shad' main tho shaad sa hun
vo shaad-e-khush_nava toh marr chuka hai

Friday, May 29, 2009

naresh kumar shad ki shayyiri

vo sehnebaagh[garden] mein aaye hain mai_kashi ke liye
khuda kare ki har ik phool zaam ho jaaye

Tuesday, March 17, 2009

naresh kumar shad ki shayyiri

phir iss duniya se ummid-e-wafaa hai
tujhe ae ! zindgi kya ho gayaa hai
badi zaalim nihaayat bevafaa hai
duniya phir bhi kitni Khush_numa hai
har ik apne hi ghum mein mubtila hai
kisi ke dard se kaun aashnaa hai
mere naqqad meri shayeri toh
mere Toote huye dil ki sadaa hai
kahan hun "Shad" main to shaad saa hun
vo shaad-e-khush-nava to marr chuka hai

wel come