Showing posts with label daag dehlvi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label daag dehlvi ki shayyiri. Show all posts

Friday, July 17, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

na rakho hashr pe mokuf[depend] dastan meri
karo khuda ke liye reham ahl-e-mehshar par
vo chashm-e-mast phir uss par vo panja-e-mizgan[[palak]
ki jaise haath kisi nazniin ka sagar par
ziyaz-o-naaz dikhata hai kya nasheb-o-faraaz[oonch-neech]
zamiin hai zer-e-qadam aasman hai sar par

daag dehlvi ki shayyiri

nigah-e-duzzdiida[chor nigahen] kisne dekhi dikhao aankehin karo nazaare
ladegi maidan mein nigah kya ladi agar khana-jang[ghar ki ladai] ho kar
ba-rang-e-hasrat, misaal-e-arman jo aa gaya yaan se phir na nikla
rahega seene mein teer tera asiire-qaid-e-firang ho kar
jhuki zara chashm-e-jungju bhi, nikal gayi dil ki aarzu bhi
bada maza uss milaap mein hai jo sulah ho jaaye jang ho kar

daag dehlvi ki shayyiri

aayi peeri[budhapa] toh kahan rang-e-jawani ki bahaar
ki bigad jaata hai tasveer-e-kuhan ka kaagaz
warq-e-dil pe keenchi ‘daag’ sanam ki tasveer
tha issi kaam ka ye aur issi fan ka kaagaz

daag dehlvi ki shayyiri

khamosh sunti rehti hai peharon shab-e-firaq
tasveer-e-yaar ko hai meri guftgu pasand
aansu gira jo aankh se takdeer se kaha
milte hain dekh khaaq mein yun aabru pasand

daag dehlvi ki shayyiri

hai qahar agar ab bhi na ho raaz-e-nihan bandh
lab bandh, nafas[saans] bandh, dahan[munh] bandh, zuban bandh
maqbool na hongi kisi maikash ki duayein
maikhane ka darwaza na kar peer-e-mugan[madhushala ka budha malik] bandh
kya jaane gaye chhup ke shab-e-wasl kidhar se
ta-subah jo dekha toh raha
kufl-e-makan[makan ka taala] bandh
dil mein hai gham-o-ranz-o-aalam hirso-hawa[laalach] bandh
duniya mein mukhm’ms[senses] ka hamare na khula bandh
dam rukte hi seene se nikal padte hain aansu
bearish ki alaamat hai jo hoti hai hawa bandh
kehte thay hum ae ‘daag’ vo kucha hai khatarnak
chhup chhup ke magar aap ka jaana na hua bandh

daag dehlvi ki shayyiri

hui jaise zuban-e-yaar gustakh
khushamad go huye naachaar gustakh
kaha kya-kya dam-e-arz-e-tamnna
hua sau baar chup sau baar gustakh

daag dehlvi ki shayyiri

tum mere dil mein raho dam ki tarah
dam na sahi hasrat-o-gham ki tarah
gaiir kea age vo mere haal par
lutf bhi karte hain sitam ki tarah

daag dehlvi ki shayyiri

guzari hai baton-baaton mein aadhi shab-e-wisaal
mere huzoor sham hai unnke huzoor subah
maine shab-e-firaq yeh keh kar guzaar di
vo aayi, le vo aayi, dil-e-na-suboor[adheer mann] subah

daag dehlvi ki shayyiri

dil ko salah-kaar bana kar huye kharab
dushman vahi hai de jo buri baat ki salha
kehte hain jab vo mujhse tujhe hum karenge qatl
kehta hun haath baandh ke, jo aap ki salah

daag dehlvi ki shayyiri

gurbat[garibi] se ranj faaka-kashi[bhook] se malaal khench
ae ‘daag’ par zamaane se dast-e-sawal khench
nazuk bohat hai rishta-e-ulfat na toot jaaye
itna na apne aap ko ae mah-zamal[beautiful lady] khench

daag dehlvi ki shayyiri

yun musvvar[painter] yaar ki tasveer khench
kuch adaa kuch naaz kuch takdeer khench
kyun khatkta hai abas[bekaar] ae khaar-e-ishq
ya nikal ya daaman-e-taasir khench
‘daag’ ko toh neem-bismil chhod de
dil se ae saffaak[hinsak] aadha teer khench

daag dehlvi ki shayyiri

pukarti hai kahmoshi meri fugan ki tarah
nigahein kehti hain sab raaz-e-dil zaban ki tarah
bighad gayi hai yahan be-tarah jahan ki tarah
kahan ki waz’aa[reeti] kahan ki adaa kahan ki tarah
hayya se rok liya zazb-e-dil ne khench liya
chale vo teer ki surat khinche kamaan ki tarah

daag dehlvi ki shayyiri

roka hi kiya ashq bithhata hi raha zof[weak]
betabi-e-dil le hi gayi gair ke ghar aaj
andesha-e-farda[aane wale kal ka darr] na rahe hazrat-e-zahid
maikhane mein pii lijiye thodi-sii magar aaj
yaan qissa adam ka hai vahan qatl ka samaan
dekhen toh sahi pehle bandhe kis ki qamar aaj
mallum nahin kal meri taqdeer mein kya hai
le naala-e-dil aalam-e-baala[parlok] ki khabar aaj
vo main ki mayssar tha mujhe saagar-e-zamshaid[vishwa darshan ka payala]
peeta hunt oh karta hai kammi khoon-e-jigar aaj
vo main ki mujhe aalam-e-baala ki khabar bhi
ae bekhabari khaak nahin apni khabar aaj
samaan tha duniya ka mere vaaste mojuud
duniya se guzarne ko nahin zaad[saaman]-e-safar aaj
thi kal se talaash unnki mere qatl pe ae ‘daag’
nikle vo azaadaar[dukhi] bane gaiir ke ghar aaj

daag dehlvi ki shayyiri

pada hai bal zibiin[mathe] par kya sabab ? kya wajah ? kya baiees[karaan] ?
hua kyun tez khanjar ? kya sabab ? kya wajah ? kya baiees ?
kaha humne agar harzai toh kyun tumne bura maana ?
phira karte ho din bhar, kya sabab ? kya wajah ? kya baiees ?
isharon mein hui thi mujhse unnse aaj kuch baatein
yahi charcha hai ghar-ghar, kya sabab ? kya wajah ? kya baiees ?

daag dehlvi ki shayyiri

na ho ek nigah se jo mera kaam tamaam
phir se phir dekh liya ussne dobara jhat-pat
jab pareshani-e-aashiq ki museebat ki museebat sun li
ussne bikhri hui zulfon ko sanwara jhat-pat
phir na kahiyega ki humse na kaha ‘daag’ ka haal
lijiye usski khabar aap khudara[ishwar ke liye] jhat-pat

daag dehlvi ki shayyiri

kahan buuton ne ye seene pe apne khai chot
ubhar ubhar ke jo karti hai khud-numai chot
salaam maine kiya rakh ke haath seene par !
vo jaante hain mujhe dekh kar chupai chot

daag dehlvi ki shayyiri

nahin sunte vo ab hamari baat
sach hai bin aaye ki hai saari baat
luut leti hai ‘daag’ ke dil ko
teri har ek pyari pyari baat

daag dehlvi ki shayyiri

aalam-e-yaas[nirasha ka samay] mein ghabraye na insane bohat
dil salamat hai toh hasrat bohat arman bohat
qatl hone na diya shukr-e-zaffa ne mujhko
kaam aate hain bure waqt mein ausaan[hosh] bohat
tum ki bedaad karo aur na sharmao zara
hum ki naakdarh[bina kiye] gunih aur pasheman bohat
bazm-e-ahbaab mein ae ‘daag’ kabhi toh hans bol
dekhte hain tujhe har waqt pareshan bohat

daag dehlvi ki shayyiri

shola-ru sainkdo nazar aaye
hain zamiin par bhi aaftab bohat
kuch samjh kar vo ho gaye khamosh
thay meri baat ke jawab bohat
dekhiye kab adam ko jana ho
kar chuke ‘daag’ pa-turaab[khade huye paanv chalana] bohat

daag dehlvi ki shayyiri

shab-e-wasl vaan sharam se rukh pe zulf
yahan ye yaqiin ab na jayegi raat
shab-e-hizran chamkayegi ‘daag’-e-dil
falak tujhko tare dikhayegi raat

wel come