Showing posts with label adeem hashmi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label adeem hashmi ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, July 7, 2009

adeem hashmi ki shayyiri

kat hi gayi judaai bhi kab yun hua ke marr gaye
tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye
tu bhi kuch aur aur hai ham bhi kuch aur aur hain
jaane vo tu kidhar gaya jaane vo ham kidhar gaye
raahon mein hi mile thay ham raahen nasiib ban gayiin
tu bhi na apne ghar gaya ham bhi na apne ghar gaye
vo bhi gubar-e-khaak tha ham bhi gubar-e-khaak thay
vo bhi kahin bikhar gaya ham bhi kahin bikhar gaye
koi kinaar-e-aab-e-juu baitha hua hai sar_niguun
kashti kidhar chali gayi jaane kidhar bhanvar gaye
tere liye chale thay ham tere liye thahar gaye
tune kaha toh ji uthe tune kaha toh marr gaye
waqt hi kuch judaai ka itna taveel ho gaya
dil mein tere firaaq ke jitne thay zakhm bhar gaye
barish-e-wasl vo hui saara gubaar dhul gaya
vo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye
itne qariib ho gaye itne raqiib ho gaye
vo bhi ‘adeem’ darr gaya ham bhi ‘adeem’ darr gaye

adeem hashmi ki shayyiri

faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samane baithaa tha mere aur vo mera na tha
vo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar su
main usse mehsuus kar sakta tha chhu sakta na tha
raat bhar usski hi aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
aks toh maujuud thay par aks tanhaaii ke thay
aaiina toh tha magar uss mei.n tera chehra na tha
aaj ussne dard bhi apne alahada kar diye
aaj main roya toh mere saath vo roya na tha
ye sabhi viiraaniyan usske juda hone se thiin
aankh dhundhalaai hui thi shahr dhundhalaya na tha
yaad karke aur bhi takaliif hoti thi ‘adeem’
bhuul jaane ke siva ab koi bhi chaara na tha

adeem hashmi ki shayyiri

dil ajab gumbad ki jis mein ik kabutar bhi nahin
itna viran toh murdaron[dead people] ka muqaddar bhi nahin
duubati jaati hain mitti mein badan ki kashtiyan
dekhne mein ye zamiin koi samandar bhi nahin
jitne hangame thay sukhi tahaniyon se jhad gaye
ped par phal bhi nahin aangan mein patthar bhi nahin
khushk tahani par parinda hai ki patta hai 'adeem'
aashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin
jitni pyaari hain meri dharti jo zanjiiren 'adeem'
itna pyare toh kisi dulhan ko zevar bhi nahin

wel come