Showing posts with label rustom sehgal wafa ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label rustom sehgal wafa ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, June 17, 2009

rustom sehgal wafa ki shayyiri

tere nisaar saaqiya jitani piyun pilaaye ja
mast nazar ka vasta mast mujhe banaaye ja
tujhko kisi se garaz kya bijali kahin giraaye jaa
dil jale ya jigar jale tu yunhi muskuraaye ja
saamne mere aa ke dekh rukh se naqaab hataa ke dekh
khilaman-e-dil hai muntazair barq-e-nazar giraaye ja
'wafa'-e-badnasiib ko bakhsha hai tune dard jo
hai koi iss ki bhi dava itana zara bataaye ja

rustom sehgal wafa ki shayyiri

kya khabar thi iss tarah se vo juda ho jaayega
khwab mein bhi usska milna khwab sa ho jaayega
zindgi thi qaid hamen kya nikaaloge uss se
maut jab aa jaayegi toh Khud riha ho jaayega
dost banakar ussko chaha, ye kabhi socha na tha
dosti hi dosti mein vo khudaa ho jaayega
usska jalwa hoga kya jiska ke parda nuur hai
jo bhi ussko dekh lega vo fida ho jaayega

rustom sehgal wafa ki shayyiri

aap aaye janaab barason mein
hamne pii hai sharab barason mein
phir se dil ki kali khili apani
phir se dekha sabaab barason mein
tum kahan thay kahan rahe saahib
aaj hoga hisaab barason mein
pehle naadan thay ab huye daana
unnko aaya adaab barason mein
issi ummiid pe main zinda hun
kya vo denge jawaab barason mein

wel come