Showing posts with label ishrat ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label ishrat ki shayyiri. Show all posts

Friday, June 5, 2009

ishrat ki shayyiri

dard-e-dil toh rukne ka ab nam nahi leta hai
sabar-e-dil bhi mera ab kaam nahi leta hai
jab se bakhse hai meri aankho ko aansoo tune
tabse deewana bhi aaram nahi leta hai
itna sang dil hai ki barbaad woh karke mujhe
apne sar koi ilzaam nahi leta hai
ye inayaat bhi nahi kam mere harzai ki
zakham deta hai magar dum nahi leta hai
jo ki ruswai se darrta hai bahut woh 'ishrat'
woh mera nam sar-e-aam nahi leta hai

Thursday, April 16, 2009

ishrat ki shayyiri

teri nazaron ka gar mujhpe vaar ho jaaye
muskura kar ye muhabat ka khumaar ho jaaye
bazm-e-mai mein bhi vo nasha nahi hoga
bas ik baar jo tujhse aankhein chaar ho jaaye
bedaad-e-ishq bhi sehne ko tayyar baithe hain
gaar ek baar uss taraf se bhi ikraar ho jaaye
khalish yun toh iss dil ko lubha rahi hai magar
aaye maza gar teer jigar ke paar ho jaaye
iss aalam-e-hasti mein reh ke kuch nahi paaya
khuda pa lun gar tujhe bhi mujhse pyar ho jaaye
kafan odh ke baithi hun main toh kab se 'ishrat'
tere ik inkaar se mera janaza tayyar ho jaaye

wel come