Showing posts with label jigar Muradabadi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label jigar Muradabadi ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, September 16, 2009

fard-e-amal siyaah kiye ja raha hoon main

dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main
kitna hasiin gunah kiye ja raha hoon main
duniya-e-dil tabaah kiye ja raha hoon main
sarf-e-nigah-o-aah kiye ja raha hoon main
fard-e-amal siyaah kiye ja raha hoon main
rehmat ko bepanah kiye ja raha hoon main
aisi bhi ik nigah kiye ja raha hoon main
zarron ko mahar-o-maah kiye ja raha hoon main
mujhse lage hain ishq ki azamat ko chaar chaand
khud husn ko gawaah kiye ja raha hoon main
masoomi-e-jamaal kobhi jis pe rashk ho
aise bhi kuch gunah kiye ja raha hoon main
aage qadam badhayen jinhen sujhata nahin
roshan chirag-e-raah kiye ja raha hoon main
tnaqeed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai
ye zurm gaah-gaah kiye ja raha hoon main
gulshan_parast hoon mujhe gul hi nahin aziiz
kanton se hii nibah kiye ja raha hoon main
yun zindgi guzaar raha hoon tere begaiir
jaise koi gunah kiye ja raha hoon main
mujhse ada hua hai 'jigar' justju ka haq
har zarre ko gawah kiye ja raha hoon main

shayar-e-fitrat hoon main

shayar-e-fitrat hoon main, jab fikr farmata hoon main
ruuh ban kar zarre-zarre mein samaa jaata hoon main
aa ke tujh bin iss tarah ae dost ghabrata hoon main
jaise har sheh mein kisi sheh ki kami paata hoon main
haaye ri majburiyan, tark-e-mohbbat ke liye
mujhko samjhate hain vo aur unnko samjhata hoon main
meri himmat dekhna, meri tabiyat dekhna
jo sulajh jaati hai gutthi phir se uljhata hoon main
wah re shauq-e-shahadat, ku-e-qaatil ki taraf
gungunata, raqs karta, jhumta jaata hoon main
teri mehfil tere jalwe, phir taqaza kya zaroor
le utha jaata hoon zaalim, le chala jaata hoon main
ek dil hai aur tufan-e-hawadis ae jigar
ek sheesha hai ke har patthar se takrata hoon main

Sunday, August 23, 2009

raaz-e-ramisho-rang

hum samjhte hain raaz-e-ramisho[geet]-rang
jahid-e-paakbaz kya jaane

teri nigah

dil se teri nigah jigar tak utar gayi
dono ko ik ada mein razamand kar gayi

shokhi-e-rindana

zahid ye meri shokhi-e-rindana dekhna
rehmat ko baaton-baaton mein behla ke pii gaya

Tuesday, August 11, 2009

ae naseem-e-karam

dil ko chhuna na ae naseem-e-karam
ab ye dil raqushe-haboob hua

roz-e-mehshar

kyun mujhse roz-e-mehshar[qaymat ka din] ban gaya
dil ke khaaksatar mein ik shola tha jo bhadka hua

mera afsana

silsile roze azal se hai barabar zaari
nahin maloom kahan tak mera afsana hai

Saturday, June 27, 2009

jigar Muradabadi ki shayyiri

ruuh kehte huye nikli hai tan-e-laagar[weak] se
ab mujhe rokne wali koi zanjeer nahi

Sunday, June 21, 2009

jigar Muradabadi ki shayyiri

humko mita sake ye zamane mein dum nahi
hamse zamana khud hai zamane se hum nahi
befayda alam nahi bekar gham nahi
taufiq de khuda toh ye naimat bhi kam nahi
meri zuban pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahi
mujhko jaga diya yahi ehsaan kam nahi
ya rab ! huzum-e-dard ko de aur vus'aatein
daman toh kya abhi meri ankhein bhi nam nahi
zahid kuch aur ho na ho maikhane mein magar
kya kam ye hai ke shikwa-e-dair-o-haram nahi
marg-e-jigar pe kyun teri ankhein hain ashq rez
ik saniha sahi magar itna bhi aham nahi

Saturday, June 6, 2009

jigar Muradabadi ki shayyiri

paas-e-adab se chhup na sakaa raaz-e-husn-o-ishq
jis jaa tumhara naam suna, sar jhukaa liya

Thursday, June 4, 2009

jigar Muradabadi ki shayyiri

saaqi par ilzaam na aaye
chahe tujh tak jaam na aaye
tere siva jo ki ho muhbbat
meri javaani kaam na aaye
jinke liye marr bhi gaye hum
vo chal kar do gaam na aaye
ishq ka sauda itana garaan[difficult] hai
inhen humse kaam na aaye
maikhane mein sab hi toh aaye
lekin "jigar" ka naam na aaye

Monday, June 1, 2009

jigar Muradabadi ki shayyiri

woh cheez kehte hain firdos[paradise]-e-gumshuda jis ko
kabhi kabhi teri aankhon mein paai jaati hai

Friday, May 29, 2009

jigar Muradabadi ki shayyiri

dastan-e-gham-e-dil unnko sunayi na gayi
baat bigdi thi kuch aisi ki banayi na gayi
sabko hum bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulai na gayi
ishq par kuch na chala diidar-e-tar ka jadu
ussne jo aag laga di vo bujhai na gayi
kya uthayegi saba khaak meri uss dar se
ye qaymat toh khud unnse bhi uthai na gayi

jigar Muradabadi ki shayyiri

barabar se bachkar guzar jaane wale
ye naale nahi be-asar jaane wale
mohbbat mein hum toh jiiye hain, jiyenge
vo honge koi aur, marr jaane wale
mere dil ki betabiya bhi liye jaa
dabe paaon muh pher ke jaane wale
nahi jaante kuch ki jaana kahan hai
chale ja rahe hain magar jaane wale
tere ik ishare pe saakit khade hain
nahi keh ke sab se guzar jaane wale

jigar Muradabadi ki shayyiri

ishq ko benaqab hona tha
aap apna jawab hona tha
teri ankhon ka kuch kasoor nahi
haan, mujhi ko kharab hona tha
dil ki jis par hai naqsh-e-ranga-rang
ussko sada kitab hona tha
humne nakamiyon ko dhund liya
akhirash kamyaab hona tha

jigar Muradabadi ki shayyiri

dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main
kitna hasiin gunah kiye ja raha hun main
duniya-e-dil tabah kiye ja raha hun main
sarf-e-nigah-o-aah kiye ja raha hun main
fard-e-amal siyah kiye ja raha hun main
rehmat ko bepanaah kiye ja raha hoon mai
aisi bhi ik nigah kiye ja raha hun main
zarron ko mehar-o-maah kiye ja raha hun main
mujhse lage hain ishq ki azamat ko char chand
khud husn ko gawah kiye ja raha hun main
maasomi-e-jamaal ko bhi jis pe rashk ho
aise bhi kuch gunah kiye ja raha hun main
aage kadam badhaye jinhe sujhta nahi
roshan chirag-e-rah kiye ja raha hun main
tanqeed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai
ye jurm gaah-gaah kiye ja raha hun main
gulshan parast hun mujhe gul hi nahi azeez
kaanton se bhi nibah kiye ja raha hun main
yu zindagi guzaar raha hun tere bagaiir
jaise koi gunah kiye ja raha hun main
mujhse ada hua hai 'jigar' justaju ka haq
har zarre ko gawah kiye ja raha hun main

jigar Muradabadi ki shayyiri

aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gaye
Khwabida zindagi thi jaga kar chale gaye
chehre tak aastin vo la kar chale gaye
kya raaz tha ki jisko chhipakar chale gaye
rag-rag mein iss tarah vo sama kar chale gaye
jaise mujh hi ko mujhse churakar chale gaye
aaye thay dil ki pyaas bujhane ke vaste
ik aag si vo aur laga kar chale gaye
lab thar-thara ke reh gaye lekin vo ae 'jigar'
jaate huye nigah mila kar chale gaye

Thursday, May 21, 2009

jigar Muradabadi ki shayyiri


mere dil mein bhi ek surat hai pinah[chupi hui]

jo tu dekh lega toh hairan hoga

Monday, May 18, 2009

jigar Muradabadi ki shayyiri

dastan-e-gham-e-dil unnko sunayi na gayi
baat bigadi thi kuch aisi ke banayi na gayi
sab ko hum bhool gaye hosh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulayi na gayi
ishq par kuch na chala deeda-e-tar ka jaadu
ussne jo aag lagi dil mein vo bujhayi na gayi
kya uthayegi saba khaak meri uss dar se
ye qaymat toh khud unnse uthayi na gayi

wel come