dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main
kitna hasiin gunah kiye ja raha hun main
duniya-e-dil tabah kiye ja raha hun main
sarf-e-nigah-o-aah kiye ja raha hun main
fard-e-amal siyah kiye ja raha hun main
rehmat ko bepanaah kiye ja raha hoon mai
aisi bhi ik nigah kiye ja raha hun main
zarron ko mehar-o-maah kiye ja raha hun main
mujhse lage hain ishq ki azamat ko char chand
khud husn ko gawah kiye ja raha hun main
maasomi-e-jamaal ko bhi jis pe rashk ho
aise bhi kuch gunah kiye ja raha hun main
aage kadam badhaye jinhe sujhta nahi
roshan chirag-e-rah kiye ja raha hun main
tanqeed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai
ye jurm gaah-gaah kiye ja raha hun main
gulshan parast hun mujhe gul hi nahi azeez
kaanton se bhi nibah kiye ja raha hun main
yu zindagi guzaar raha hun tere bagaiir
jaise koi gunah kiye ja raha hun main
mujhse ada hua hai 'jigar' justaju ka haq
har zarre ko gawah kiye ja raha hun main
No comments:
Post a Comment