Showing posts with label aga hashr ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label aga hashr ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, July 7, 2009

aga hashr ki shayyiri

tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
tum se toh kam gila hai ziyada nasiib se
goya tumhari yaad hi mera ilaaj hai
hota hai paharon zikr tumhara tabiib se
barbaad-e-dil ka aakhiri sarmaya thi ummiid
vo bhi toh tumne chhiin liya mujh gariib se
dhundhala chali nigah dam-e-vapsi hai ab
aa paas aa ke dekh lun tujhko qariib se

aga hashr ki shayyiri

suu-e-maikada na jaate toh kuch aur baat hoti
vo nigah se pilaate toh kuch aur baat hoti
go hawa-e-gulisatan ne mere dil ki laaj rakh li
vo naqaab khud uthate toh kuch aur baat hoti
ye baja kali ne khil kar kiya gulasitan muattar[full of itr]
magar aap muskurate toh kuch aur baat hoti
ye khule khule se gesu, inhen laakh tu sanware
mere haath se sanvarte, toh kuch aur baat hoti
go haram ke raste se vo pahunch gaye khuda tak
teri raahguzar se jaate toh kuch aur baat hoti

wel come