Showing posts with label krishan adeeb ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label krishan adeeb ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, April 28, 2010

jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad



jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad
aur badh jaatii hai afsuurdaadilii shaam ke baad

ab iraadon pe bharosaa hai na taubaa pe yakiin
mujh ko le jaaye kahan tashnaalabii shaam ke baad

yun toh har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa
dil ko mahasuus huii terii kamii shaam ke baad

yun toh kuchh shaam se pehle bhii udaasii thii "adeeb"
ab to kuch aur badhii dil kii lagii shaam ke baad

Tuesday, June 16, 2009

krishan adeeb ki shayyiri

zahan pe chhayi hui gham ki ghata ho jaise
dard mein duubi hui saari fiza ho jaise
ab dil-e-zaar kisi taur behalta hi nahin
isska paimaan-e-vaffa tuut gaya ho jaise
pursish[to show concern]-e-gham ki bhii rasm utha di ussne
haal-e-dil sun ke vo sharminda hua ho jaise
ab toh har saans ki aamad pe guman hota hai
zindgi ek fasurda sa diya ho jaise

krishan adeeb ki shayyiri

talkhi-e-mai mein zara talkhi-e-dil bhi gholen
aur kuch der yahan baith ke pii len ro len
har taraf ek pur_asaraar[full of secrets] si khamoshi hai
apne saaye se koi baat karen kuch bolen
koi toh shaks ho jii jaan se chahen jisko
koi toh jaan-e-tasavvur ho ke jis ke ho len
aah ye dil ki kasak haaye ye aankhon ki jalan
niind aa jaaye agar aaj toh ham bhi so len

krishan adeeb ki shayyiri

jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad
aur badh jaati hai afsurdadilii shaam ke baad
ab iraadon pe bharosa hai na tauba pe yaqiin
mujhko le jaaye kahan tashnalabi shaam ke baad
yun toh har lamha teri yaad ka bojhal guzara
dil ko mahasus hui teri kami sham ke baad
yun toh kuch shaam se pehle bhi udasi thi 'adeeb'
ab toh kuch aur badi dil ki lagi shaam ke baad

wel come