Showing posts with label sir alama mohmmad iqbal ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label sir alama mohmmad iqbal ki shayyiri. Show all posts

Sunday, June 28, 2009

allama iqbal

yun toh syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho
tum sabhi kuch ho, batao toh musalmaan bhi ho !!

Sunday, June 21, 2009

sir alama mohmmad iqbal ki shayyiri

sitaaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
tahi zindagi se nahi ye fazaaien
yahan sainkdon karvan aur bhi hain
kaynaat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain
agar kho gaya ek nasheman toh kya ghum
maqamaat-e-aah-o-fugaan aur bhi hain
tu shaheen hai parwaaz hai kaam tera
tere saamne asmaan aur bhi hain
issi roz-o-shab mein ulajh kar na reh ja
ke tere zameen-o -makaan aur bhi hain
gaye din ko tanha tha main anzuman mein
yahan ab mere raazdaan aur bhi hain

Tuesday, June 2, 2009

sir alama mohmmad iqbal ki shayyiri

parwana tujhse karta hai ae shama pyar kyun
yeh jaan-e-be_qarar hai tujh par nisaar kyun
semaab waar rakhti hai teri ada isse
adaab-e-ishq tune shikhaye hain kya isse ?
karta hai yeh tawaaf teri jalwa-gaah ka
phoonka hai kya teri barq-e-nigah ka ?
aazar-e-maut mein isse araam-e-jaan hai kya ?
shole mein teri zindgi-e-jaa_vidaan hai kya ?
gham-e-khana-e-jahan mein jo teri ziya na ho
iss fitna dil ka nakhal-e-tamnna harra na ho
girna tere hazoor mein iss ki namaaz hai
nanhe se dil mein lazzat-e-soz-e-gudaaz hai
kuch iss mein josh-e-aashiq-e-husan-e-qadeem hai
chotta sa toor toh, yeh zara sa kaleem hai

wel come