Showing posts with label insha ji ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label insha ji ki shayyiri. Show all posts

Friday, May 29, 2009

insha ji ki shayyiri

jhutha nikla qaraar tera
ab kisko hai aitbaar tera
dil mein sau laakh chutkiyan li
dekha bas hum ne pyar tera
dam naak mein aa raha tha apne
tha raat ye intzaar tera
kar jabr jahan talak tu chahe
mera kya, ikhtiyaar tera
liptuun hun gale se aap apne
samjhun hun ki hai kinaar tera
'insha' se mat ruuth mat khaffa ho
hai banda jaanisaar tera

insha allah khan

Friday, May 22, 2009

insha khan insha ki shayyiri

zauff aata hai dil ko thaam toh lo
boliyo mat, magar salaam toh lo
kaun kehta hai bolo, mat bolo
haath se mere ek jaam toh lo
innhe baaton pe luta hun main
gaali phir de ke mera naam toh lo
yak nigaah par bikay hain "insha" aaj
muft mein mol ek ghulaam toh lo

Saturday, January 17, 2009

insha ji ki shayyiri

ख्याल कीजिये, कया काम आज मैंने किया
जब उनने दी मुझे गाली, सलाम मैंने किया
कहा यें सबर ने ... दिल से ..."कि लो खुदा हाफिज़"
"के हक-ए-बंदगी अपना, तमाम मैंने किया"
झिड़क के कहने लगे ... "लब चले बहुत अब तुम्हारे"[ज्यादा बोलना]
कभी जो भूल के उनसे, कलाम[बहस] मैंने किया
हवस[इच्छा] यह रह गयी, साहीब ने ... पर कभी ना कहा ...
"के आज से तुझे,'इंशा' ... गुलाम मैंने किया"

insha ji ki shayyiri

khayal kijiye, kya kaam aaj maine kiya
jab un ne di mujhe gaali, salaam maine kiya
kaha ye sabr ne ....dil se ... ki lo khuda hafiz
ke haq-e-bandgi apna, tamaam maine kiya
jhidak ke kehne lage, ... lab chale bahut ab tumhare[jayda bolna]
kabhi jo bhool ke unnse, kalaam[behas] maine kiya
.hawas[wish] yeh reh gayi, sahib ne ... par kabhi na kaha ...
"ke aaj se tujhe,'insha' ... gulaam maine kaha"

wel come