Showing posts with label shakeel badayuni ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label shakeel badayuni ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

zid

agar ye zid hai ki mujhse dua salaam na ho
toh aisi raah se guzaro jo raah-e-aam na ho

rudaad-e-gham

na kyun ho iss ada par ishq ki khuddariyan sadqe
unnhen rudaad-e-gham sun sun ke hairat hoti jaati hai

umiide-ruunumai

unnse umiide-ruunumai hai
kya nigahon ki maut aayi hai

charcha

maine jiyaa jo husn ko bakshi usska toh koi ikr nahi
lekin ghar ghar mein charcha hai aaj teri ranaai[beauty] ki

khuda ka naam

na paimaane khanakte hain na daur-e-jaam chalta hai
nayi duniya ke rindon mein khuda ka naam chalta hai


Monday, June 22, 2009

shakeel badayuni ki shayyiri


rehmat nazar bacha ke nikalne ko thi magar
vo irtiaashe[kamkapi/terror]-daste-dua yaad aa gaya

shakeel badayuni ki shayyiri

apni hasti ka bhi insan ko irfaa[gayaan] na hua
khaak phir khaak thi, aukaat se aagay na badhi

shakeel badayuni ki shayyiri

pii shonq se waaiz, arre kya baat hai darr ki
dozakh tere kabze mein hai, zannat tere ghar ki

Sunday, May 31, 2009

shakeel badayuni ki shayyiri

kaise keh doon ki mulakaat nahin hoti
roz milte hain magar baat nahin hoti
aap lilaah na dekha karen aaiina kabhi
dil ka aa jana koi badi baat nahin hoti
chhup ke rota hun teri yaad mein duniya bhar se
kab meri aankh se barsaat nahin hoti
haal-e-dil puchne wale teri duniya mein kabhi
din toh hota hai magar raat nahin hoti
jab bhi milte hain toh kehte hai,'kaise ho "shakeel"'
iss se aagay toh koi baat nahin hoti

Friday, May 29, 2009

shakeel badayuni ki shayyiri

zauq-e-sitam junuun ki hadon se guzar gaya
kam-zarf zinda rah gaye, insan marr gaya
gham khana-e-jahan mien kise jurrat-e-qayaam
mera hi hausla tha, do din thehar gaya
hai shiddat-e-khuloos ek zurm-e-ashiqui
parwana jal ke shamma ko badnaam kar gaya
baithe hain aaj aaiinaa-e-jaan le ke wo
ab jaaniye ke nazm-e-do aalam sanwar gaya
lillah ! aap mujhse muhbbat na keejiye
do roz hi mein aapka chehra utar gaya
pehle toh zindagi ki tamanna thi ishq mein
ab dhuundhta hun main, mera qaatil kidhar gaya
rah kar tilism-e-khaana-e-hasti mein ae 'shakeel'
toh main khud apne hi saaye se darr gaya

Tuesday, April 28, 2009

shakeel badayuni ki shayyiri

aap khud hi sochiye main hun unnhen kitna aziz
vo khuda ko chhod kar meri kasam khaane lage

shakeel badayuni ki shayyiri

jo ajkhud[apne-aap] na badla nizame-do-aalam
teri zulf se barhami maang lunga

wel come