Showing posts with label saahir ludhiyanwi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label saahir ludhiyanwi ki shayyiri. Show all posts

Friday, May 29, 2009

saahir ludhiyanwi ki shayyiri

tumhari mast nazar agar idhar nahi hoti
nashe mein chuur fiza iss kadar nahi hoti
tumhin ko dekhne ki dil mein arzoo hai
tumhare aage hi aur uunchi nazar nahi hoti
khaffa na hona agar badhke tham lun daman
ye dil-fareb khata jaankar nahi hoti
tumhare aane talak humko hosh rehta hai
phir usxke baad hamen kuch khabar nahi hoti

saahir ludhiyanwi ki shayyiri

tera khayyal dil se mitaya nahi abhi
bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi
kal tune muskura ke jalaya tha khud jise
seene mein wo charag bujhaya nahi abhi
gardan ko aaj bhi tere baahon ki yaad hai
chaukhat se teri, sar ko uthaya nahi abhi
behosh ho ke jald tujhe hosh aa gaya
main badanasiib hosh mein aaya nahi abhi

Monday, March 23, 2009

saahir ludhiyanwi ki shayyiri

तंग आ चुके हैं कशमकश-ए-ज़िंदगी से हम
ठुकरा न दें जहाँ को कहीं बेदिली से हम
मायूसी-ए-माल-ए-मोहब्बत न पूछ
अपनों से पेश आये हैं बेगानगी से हम
लो आज हमने तोड़ दिया रिश्ता-ए-उम्मीद
लो अब कभी गिला न करेंगे किसी से हम
उभरेंगे एक बार अभी दिल के वलवले
गो दब गए हैं बार-ए-गम-ए-ज़िंदगी से हम
ज़िंदगी में मिल गए फिर इत्तेफाक से
पूछेंगे अपना हाल तेरी बेबसी से हम
अल्लाह रे फरेब-ए-मशिय्यत कि आज तक
दुनिया के ज़ुल्म सहते रहे खामोशी के साथ

saahir ludhiyanwi ki shayyiri

tang aa chuke hain kashmakash-e-zindgi se hum
thukra na den jahaan ko kahin bedili se hum
maayusi-e-maal-e-muhhbat na pooch
apnon se pesh aaye hain begaangi se hum
lo aaj humne tod diya rishta-e-ummid
ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale
go dab gaye hain baar-e-gam-e-zindgi se hum
gar zindgi mein mil gaye phir ittefaaq se
puchenge apna haal teri bebasi se hum
allah re ! fareb-e- mashiyyat ki aaj tak
duniya ke zulm sehte rahe khamoshi ke saath

wel come