Showing posts with label anjum rahbar ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label anjum rahbar ki shayyiri. Show all posts

Friday, May 29, 2009

anjum rahbar ki shayyiri

sach baat maan leejiye chehre pe dhuul hai
ilzaam aaiinon pe lagana fizuul hai
teri navazishen hon to kaanta bhi phuul hai
gham bhi mujhe qubool, Khushi bhi qubool hai
uss paar ab toh koi tera muntazir[waiting] nahin
kacche ghade pe tair kar jaana fizuul hai
jab bhi mila hai zakhm ka tohfa diya mujhe
dushman zaruur hai vo magar baa-usuul hai

Monday, December 22, 2008

anjum rahbar ki shayyiri

jinke aangan mein amiri ka shajar[tee] lagta hai
unka har aib zamaane ko humar lagta hai
chaand taare mere qadmon mein bichhe jaate hain
ye buzurgon ki duaon ka asaar lagta hai
ma mujhe dekh ke naaraz na ho jaaye kahin

sar pe aanchal nahin hota hai toh darr lagta hai

anjum rahbar ki shayyiri

जिनके आँगन में अमीरी का शजर[tree] लगता है
उनका हर ऐब ज़माने को हुनर लगता है
चाँद तारे मेरे क़दमों में बिछे जाते हैं
ये बुजुर्गों कि दुआओं का असर लगता है
माँ मुझे देख के नाराज़ ना हो जाये कहीं
सर पे आँचल नहीं होता है तो डर लगता है

wel come