Showing posts with label ehsaan danish ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label ehsaan danish ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009

purasish-e-gham ka sukriya

purasish-e-gham ka sukriya, kya tujhe aagahi nahin
tere bagair zindgi dard hai, zindgi nahin
daur tha ek guzar gaya, nasha tha ek utar gaya
ab vo muqaam hai jahan sikva-e-berukhi nahin
tere siva karun pasand kya teri qayanaat mein
donon jahan ki neamatein, qiimat-e-bandagi nahin
laakh zamana zulm dhaaye, waqt na vo khuda dikhaye
jab mujhe ho yaqiin ki tu haasil-e-zindgi nahin
dil ki shaguftagi ke saath rahat-e-maikada gayi
fursat-e-maikashi toh hai, hasrat-e-maikashi gayi
zakhm pe zakhm kha ke jii, apne lahu ke ghuunt pii
aah na kar, labon ko sii, ishq hai dillagi nahin
dekh le khushk-o-zard phool, dil hai kuch iss tarah malool
jaise teri khizan ke baad, daur-e-bahaar hi nahin

sirf ashq-o-tabssum mein uljhe rahe

sirf ashq-o-tabssum mein uljhe rahe
humne dekha nahin zindgi ki taraf
raat dhalte jab unnka khayal aa gaya
til-tiki bandh gayi chandani ki taraf
kaun sa zurm hai, kya sitam ho gaya
aankh agar uth gayi, aap hi ki taraf
jaane vo multafit hon kidhar bazm mein
aansuon ki taraf ya hansi ki taraf

nazar fareb-e-qaza kha gayi

nazar fareb-e-qaza kha gayi toh kya hoga
hayaat maut se takra gayi toh kya hoga
nayi sahar ke bohat log muntazir hain magar
nayi sahar bhi kahala gayi toh kya hoga
na rahnumaon ki majlis mein le chalo mujhko
main be-adab hun hansi aa gayi toh kya hoga
gham-e-hayaat se beshaq hai khudkushi aasaan
magar jo maut bhi sharma gayi toh kya hoga
shabaab-e-laala-o-gul ko pukaarnewalon
khizan-sirisht bahaar aa gayi toh kya hoga
ye fikr kar ki iss aasuudagi ke dhoke mein
teri khudi ko bhi maut aa gayi toh kya hoga


Monday, June 15, 2009

ehsaan danish ki shayyiri

yun na mil mujhse khaffa ho jaise
saath chal mauj-e-saba ho jaise
log yun dekh kar hans dete hain
tu mujhe bhuul gaya ho jaise
ishq ko shirk ki hadh tak na badha
yun na mil ham se khuda ho jaise
maut bhi aayi toh iss naaz ke saath
mujh pe ehsaan kiya ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuch bhi na pata ho jaise
hichakiyan raat ko aati hi rahin
tune phir yaad kiya ho jaise
zindgi beet rahii hai 'daanish'
ek be_zurm saza ho jaise

ehsaan danish ki shayyiri

sirf ashk-o-tabssum mein uljhe rahe
ham ne dekha nahin zindgi ki taraf
raat dhalte jab unnka khayal aa gaya
tik-tiki bandh gayi chandni ki taraf
kaun sa zurm hai,kya sitam ho gaya
aankh agar uth gayi, aap hi ki taraf
jaane vo multafit hon kidhar bazm mein
aansuon ki taraf ya hansi ki taraf

ehsaan danish ki shayyiri

purasish-e-gham ka shukriya, kya tujhe aagahi[knowledge] nahin
tere bagaiir zindgi dard hai, zindagi nahin
daur tha ek guzar gaya, nasha tha ek utar gaya
ab vo muqam hai jahan shikwa-e-berukhi nahin
tere siva karun pasand kya teri qaynaat mein
donon jahan ki ne'amaten, qeemat-e-bandgi nahin
lakh zamana zulm dhaye, waqt na vo khuda dikhaye
jab mujhe ho yaqiin ki tu haasil-e-zindgi nahin
dil kii shaguftgi[to bloom] ke saath rahat-e-mai_kada gayi
fursat-e-mai_kashi toh hai, hasrat-e-mai_kashi gayi
zakhm pe zakhm kha ke jii, apne lahu ke ghuunt pii
aah na kar, labon ko sii, ishq hai dilagi nahin
dekh ke khushk-o-zard phuul, dil hai kuch iss tarah maluul
jaise teri khizan ke baad, daur-e-bahar hi nahin

ehsaan danish ki shayyiri

nazar fareb-e-kaza[illusion of death] kha gayi toh kya hoga
hayat maut se takra gayi toh kya hoga
nayi sahar ke bahut log muntazir hain magar
nayi sahar bhi kajala gayi toh kya hoga
na rah_numaon ki majalis mein le chalo mujhko
main be-adab hun hansi aa gayi toh kya hoga
gham-e-hayat se be_shaq hai khud_kushi aasan
magar jo maut bhi sharma gayi toh kya hoga
shabab-e-laala[beauty of flowers]-o-gul ko pukarane waalon
khizan-sirisht bahar aa gayi toh kya hoga
ye fikr kar ki iss aasudgi[contentment] ke dhoke mein
terii Khudii ko bhii maut aa gayi toh kya hoga
khushi chinii hai toh gham ka bhi aitamaad na kar
jo ruuh gham se bhi ukta gayi toh kya hoga

Tuesday, March 17, 2009

ehsaan danish ki shayyiri

kabhi mujhko saath lekar kabhi mere saath chal ke
vo badal gaye achanak meri zindagi badal ke
huye jis pe meharban tum koi Khush naseeb hoga
meri hasratein toh nikali mere aansu'on mein dhal ke
koi phool ban gaya hai koi chand koi tara
jo chiragh bujh gaye hain teri anjuman mein jal ke
mere dosto khudara mere saath tum bhi dhoondho
vo yahi kahi chhupe hain mere ghum ka rukh badal ke
teri be_jhijhak hassi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai aainon ka yahan saans le sambhal ke

wel come