purasish-e-gham ka shukriya, kya tujhe aagahi[knowledge] nahin
tere bagaiir zindgi dard hai, zindagi nahin
daur tha ek guzar gaya, nasha tha ek utar gaya
ab vo muqam hai jahan shikwa-e-berukhi nahin
tere siva karun pasand kya teri qaynaat mein
donon jahan ki ne'amaten, qeemat-e-bandgi nahin
lakh zamana zulm dhaye, waqt na vo khuda dikhaye
jab mujhe ho yaqiin ki tu haasil-e-zindgi nahin
dil kii shaguftgi[to bloom] ke saath rahat-e-mai_kada gayi
fursat-e-mai_kashi toh hai, hasrat-e-mai_kashi gayi
zakhm pe zakhm kha ke jii, apne lahu ke ghuunt pii
aah na kar, labon ko sii, ishq hai dilagi nahin
dekh ke khushk-o-zard phuul, dil hai kuch iss tarah maluul
jaise teri khizan ke baad, daur-e-bahar hi nahin
No comments:
Post a Comment