buut-shikan koi kahin se bhi na aane paaye
hamne kuch buut abhi seene mein saja rakhe hain
apni yaadon mein basa rakhe hain
dil pe ye soch ke path'raao karo diwanon
ke jahan hamne sanam apne chhupa rakhe hain
vahin ghazni ke khuda rakhe hain
buut jo tuute toh kisi tarah bana lenge unhen
tukde-tukde sahi daaman mein utha lenge unhen
phir se ujde huye seene mein saja lenge unhen
gar khuda tuutega ham toh na bana paayenge
usske bikhde huye tukde na uthaa paayenge
tum utha lo toh utha lo shayad
tum bana lo toh bana lo shayad
tum banaao toh khuda jaane banaao kaisa
apne jaisa hi banaya toh qayamat hogi
pyar hoga na zamaane mein mohabbat hogi
dushmani hogi, adaavat hogi
hamse usski na ibaadat hogi
vehshat-e-buut-shikani dekh ke hairaan hun main
but-parastii mera shevaa hai ke insaan hun main
ek na ek buut toh har ek dil mein chhupa hota hai
usske sau naamon mein ek naam khuda hota hai
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label kaifi aazmi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label kaifi aazmi ki shayyiri. Show all posts
Tuesday, June 23, 2009
Monday, June 22, 2009
kaifi aazmi ki shayyiri
pathar ke khuda vahan bhi paaye
hum chaand se aaj laut aaye !
divaarein toh har taraf khadi hain
kya ho gaye mehrbaan saaye ?
jangal ki hawayein aa rahi hain
kaagaz ka ye sehr udd na jaaye !
laila ne naya janam liya hai
hai qais koi jo dil lagaaye ?
hai aaj zamin ka gusal-e-sahat[Bathing after recovery from sickness]
jis dil mein ho jitna ... khoon laaye !
sehra sehra lahu ke kheme
phir pyaase lab-e-furaat aaye

Saturday, June 20, 2009
kaifi aazmi ki shayyiri
mujhse chup kar meri nazron mein sama kar dekhiye
apne jalwon ka tamasha khud bhi aa kar dekhiye
muqfil ho kar na suniye ahle gham ki dastan
dekhne hain daag-e-dil toh muskura kar dekhiye
main bahut kamzor be bas natawan aajiz sahi
Apna daman mere hathon se chuda kar dekhiye
main bhula dun aapko bilkul baja irshad hai
mujhko lekin aap toh pehle bhula kar dekhiye
kaun kehta hai ke inn par kuch asar hota nahi
aaj 'kaifi' ki ghazal unnko suna kar dekhiye

Wednesday, June 10, 2009
kaifi aazmi ki shayyiri
mere dil mein tu hi tu hai dil ki dawa kya karun
dil bhi tu hai jaan bhi tu hai tujhpe fida kya karun
khud ko kho kar tujhko pa kar kya kya mila kya kahun
tera ho ke jeene main kya kya aaya maza kya kahun
kaise din hain kaisi raaten kaisi fiza kya kahun
meri hoke tune mujhko kya kya diya kya kahun
mere pehlu mein jab tu hai phir main dua kya karun

Friday, May 29, 2009
kaifi aazmi ki shayyiri
main ye soch kar usske dar se utha tha
vo rok legi mujhko, mana legi mujhko
hawaaon mein lehrata aata tha daman
ke daman pakad kar bitha legi mujhko
qadm iss andaz se uth rahe thay
ke awaaz de kar bula legi mujhko.
magar ussne roka na mujhko manaya
na daaman hi pakda na mujhko bithaya
na awaaz hi di na mujhko bulaya
main ahista-ahista badta hi aaya
yahan tak ki usse juda ho gaya ...
vo rok legi mujhko, mana legi mujhko
hawaaon mein lehrata aata tha daman
ke daman pakad kar bitha legi mujhko
qadm iss andaz se uth rahe thay
ke awaaz de kar bula legi mujhko.
magar ussne roka na mujhko manaya
na daaman hi pakda na mujhko bithaya
na awaaz hi di na mujhko bulaya
main ahista-ahista badta hi aaya
yahan tak ki usse juda ho gaya ...
Friday, May 22, 2009
kaifi aazmi ki shayyiri
khaar-o-khas toh uthen, rasta toh chale
main agar thak gaya, qafila toh chale
chand, suraj, buzurgon ke naqsj-e-qadam
khair bujhne do unnko hawa toh chale
haakim-s-shehr, yeh bhi koi shehr hai
masjiden bandh hain, mai_kada toh chale
ussko mazhab kaho ya siaasat kaho !
khudkushi ka hunar tum sikha toh chale
itni laashen main kaise utha paaunga
aap iinton ki hurmat bacha toh chale
belche laao, kholo zamiin ki tahen
main kahan dafan hun, kuch pata toh chale

Thursday, April 16, 2009
kaifi aazmi ki shayyiri
की ज़माने ने ज़फा, तुमसे ज़फा भी ना हुई
दिल इस अंदाज़ से तोडा, कि सदा भी ना हुई
दिल इस अंदाज़ से तोडा, कि सदा भी ना हुई
kaifi aazmi ki shayyiri
ki zamane ne zaffa, tumse zaffa bhi na hui
dil iss andaaz se toda, ki sada bhi na hui
dil iss andaaz se toda, ki sada bhi na hui
Tuesday, March 17, 2009
kaifi aazmi ki shayyiri
mujhse chhup kar meri nazron mein sama kar dekhiye
apne jalwon ka tamasha khud bhi aa kar dekhiye
muqfil ho kar na suniye ahle ghum ki dastan
dekhne hain dagh-e-dil toh muskura kar dekhiye
main bahut kamzor be_bas natawan aajiz sahi
apna daman mere hathon se chuda kar dekhiye
main bhula doon aapko bilkul baja irshad hai
mujhko lekin aap to pehle bhula kar dekhiye
kaun kehta hai ke inn par kuch asar hota nahi
aaj "kaifi" ki ghalzal unko suna kar toh dekhiye

Subscribe to:
Posts (Atom)