main ye soch kar usske dar se utha tha
vo rok legi mujhko, mana legi mujhko
hawaaon mein lehrata aata tha daman
ke daman pakad kar bitha legi mujhko
qadm iss andaz se uth rahe thay
ke awaaz de kar bula legi mujhko.
magar ussne roka na mujhko manaya
na daaman hi pakda na mujhko bithaya
na awaaz hi di na mujhko bulaya
main ahista-ahista badta hi aaya
yahan tak ki usse juda ho gaya ...
No comments:
Post a Comment