Showing posts with label faiz ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label faiz ki shayyiri. Show all posts

Saturday, July 4, 2009

ab ke yun dil ko saza di hum ne

ab ke yun dil ko saza di hum ne
usski har baat bhula di hum ne
ek ek phool bohat yaad aaya
shakhen-e-gul jab woh jala di hum ne
aaj tak jis pe woh sharmaate hai
baat woh kab ki bhula di hum ne
shahr-e-jahan raakh se adaab hua
aag jab dil ki bhuja di hum ne
aaj phir yaad bohat aaya woh
aaj phir ussko dua di hum ne
koi toh baat hai uss mein ‘faiz’
har khushi jis pe luta di hum ne

Friday, June 5, 2009

faiz ki shayyiri

dono jahaan teri muhabat mein haar ke
vo ja raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
viraan hai maikada, khum-o-saaghar(wine pitcher and glass) udaas hai
tum kya gaye ke rooth gaye din bahar ke
ek fursat -e-gunaah(oppurtunity of sin) mili, vo bhi chaar din
dekhe hain humne housle parvardigaar ke
duniya ne teri yaad se begaana kar diya
tujhse bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke
bhoole se muskuraa jo diye thay vo aaj "faiz"
mat pooch val-vale dil-e-na'kardaakar ke

Thursday, June 4, 2009

faiz ki shayyiri

aa ki vabasta hai uss husn ki yaaden tujhse
jisne iss dil ko pari_khana bana rakha tha
jisski ulfat mein bhula rakhi thi duniya hamne
dahar ko dahar ka afsana bana rakha tha

aashna hain tere qadmon se voh rahen jin par
usski madhosh jawani ne inayat ki hai
karvan guzre hain jinse issi ra’anayi ke
jiski inn aankhon ne be-suud ibadat ki hai

tujhse kheli hain voh mehboob hawayen jin mein
usske malbuus ki afsurda mrhak baqi hai
tujhpe bhi barsa hai uss baam se mehtab ka nuur
jis mein beeti hui raaton ki kasak baqi hai

tune dekhi hai voh peshani, voh rukhsar, voh hont
zindgi jinnke tasavvur mein lutaa di hamne
tujhpe uthi hain voh khoi khoi saahir aankhen
tujhko mallum hai kyon umar ganva di hamne

hum pe mushtarak hain ehsaan gham-e-ulfat ke
itne ehsaan ki ginvaaun toh ginva na sakuun
hamne iss ishq mein kya khoya hai kya siikha hai
juz tere aur ko samjhaaun toh samjha na sakun

Tuesday, June 2, 2009

faiz ki shayyiri

na gayi tere gham ki sardaari
dil mein yun roz inqalab aaye

Monday, June 1, 2009

faiz ki shayyiri

har rag-e-khuun mein phir chiraaghaan ho
saamne phir woh be-naqaab aaye

Tuesday, May 19, 2009

faiz ki shayyiri

rang pairhan ka, khushbuuzulf lahrane ka naam
mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam
doston uss chashm-o-lab ki kuch kaho jiske bagaiir
gulistan ki baat rangin na maikhane ka naam
phir nazar mein phuul mehke dil mein phir shama jali
phir tasavuur ne liya uss bazm mein jaane ka naam
mohtasib ki khaiir, uncha hai ussi ke naam se
rind ka, saaqi ka, mai ka, khum ka, paimane ka naam
hamse kehte hain chaman wale gariibaan-e-chaman
tum koi achcha sa rakh lo apne viiraane ka naam
faiz unnko hai takaza-e-waffa humse jinhe
aashna ke naam hai se pyara hai begane ka naam
faiz ahmed faiz

Thursday, April 30, 2009

faiz ki shayyiri

phir koi aaya dil-e-zaar, nahin koi nahin
raahrav[musafir] hoga, kahin aur chala jaayega
dhal chuki raat, bikharne laga taaron ka gubaar
ladkhadane lage aivaanon mein khwabinda chirag
so gayi rasta tak tak ke har ek rehguzar
ajnabi khaak ne dhundhla diye qadmon ke suraag
gul karo shamen, badhao mai-o-meena-o-ayaagh
apne bekhwaab kivaadon ko muqafal[bandh] kar lo
ab yahan koi nahin, koi nahin aayega
faiz ahmed faiz

Wednesday, March 18, 2009

faiz ki shayyiri

uss ki surat bhi tere liye kitni zalim hai 'faiz'
bhoolo toh bhulti nahi, yaad karo toh rulati hai...

faiz ki shayyiri

lagta nahin ke saath nibhayega dair tak
lekin vo mujhko bhool na paayega dair tak
jo bhi qareeb aayega uss ke usse zaroor
vo meri dastaan sunayega dair tak
dhoondhega aur mujhe inhi galion mein ek din
dhondhga aur mujhko na paayega dair tak
main sahilon ki rait pe likhonga usska naam
vo paanio'n pe naqsh banayega dair tak
kis haal mein hun main uss ke baad 'faiz'
sun kar usse yaqeen na aayega dair tak

Saturday, January 3, 2009

faiz ki shayyiri

har haqeqat majaaz ho jaaye
kaafiro ki namaaz ho jaaye
minnat-e-chaarasaaz kaun kare
dard jab jaan navaaz ho jaye
ishq dil mein rahe toh rusvaa ho
lab pe aaye toh raaz ho jaaye
lutf ka intezaar karataa hun
jor taa had-e-naaz ho jaye
umar besood kat rahi hai 'faiz'
kaash afshaa-e-raaz ho jaaye

Monday, December 22, 2008

faiz ki shayyiri

दिल में अब यूँ तेरे भूले हुए गम आते हैं
जैसे बिछडे हुए काबे में सनम आते हैं
इक-इक करके हुए जाते हैं तारे रोशन
मेरी मंजिल की तरफ तेरे कदम आते हैं
रस-ए-मय[शराब का दौर] तेज़ करो,साज़ की लय तेज़ करो
सु-ए-मयखाना[मयखाना की ओर] सफीरान-ए-हरम[धर्म के प्रतिनिधि] आते हैं
कुछ हमीं को नहीं एहसान उठाने का दिमाग
वो तो जब आते हैं, माइल-ब-करम[कृपालु] आते हैं
और कुछ देर न गुज़रे, शब्-ए-फुर्क़त से कहो
दिल भी कम दुखता है, वो याद भी कम आते हैं

faiz ki shayyiri

dil mein ab yun tere bhule huye gam aate hain
jaise bichade huye kaabe mein sanam aate hain
ik-ik karke huye jaate hain taare roshan
meri manzil ki taraf tere kadam aate hain
ras-e-mai[shraab ka daur] tez karo,saaz ki lai tez karo
su-e-maikhana[maikhane ki aur] safiraan-e-harm[dhram ke prtinidi] aate hai
kuch hamen ko nahin ehsaan ka dimaag vo toh
jab aate hain, maail-b-karam[kirpalu] aate hain
aur kuch der na guzre, shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai, vo yaad bhi kaam aate hain

faiz ki shayyiri

tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
kisi bahane tumhen yaad karne lagte hain
har ajnabi, hamen marham dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain
sabaa se karte hain gurbat naseeb[ghar se duur rehne wale] zikr-e-vatan[ghar ki charch]
toh chsm-e-subah[subah ki aankhon] mein aanso ubharne lagte hain
vo jab bhi karte hain iss nutak-o-lab ki bakhiyagari[lab aur baat bandh karna]
faza mein aur bhi nagme bikhrne lagte hain
dar-e-kafas[door of jail] pe andhere ki mohar lagti hai toh "faiz"
dil mein sitare ubharne lagte hain

faiz ki shayyiri

बे-दम हुए बीमार दावा क्यूँ नहीं देते
तुम अच्छे मसीहा हो शिफा क्यूँ नहीं देते
दर्द-ए-शब्-ए-हिज्राँकि ज़जा[इनाम] क्यूँ नहीं देते
खून-ए-दिल-ए-वहशी का सिला[बदला] क्यूँ नहीं देते
मिट जायेगी मखलूक[सृष्टि] तो इन्साफ करोगे
मुंसिफ हो तो अब हश्र उठा क्यूँ नहीं देते
पैमान-ए-जुनूं हाथों को शरमाएगा कब तक
दिलवालों, गीरेबां का पता क्यूँ नहीं देते
बर्बादी-ए-दिल-ज़बर[विवशता] नहीं "फैज़"
किसी का वो दुश्मन-ए-जां है तो भुला क्यूँ नहीं देते

faiz ki shayyiri

be-dam huye bimaar dawa kyun nahin dete
tum achche masiha ho shifa kyun nahin dete
dard-e-shab-e-hizraan ki zaza[inaam] kyu nahi dete
khun-e-dil-e-vehshi ka sila[badla] kyun nahin dete
mit jayegi makhlook[shristi] toh insaaf karoge
munsif ho toh ab hashr utha kyun nahin dete
paimaan-e-junnon[diwangi ki kasam] haatho ko sharmayega kab tak
dilwalo, girabaan ka pata kyun nahi dete
barbadi-e-dil-zabr[majboor] nahi "faiz"
kisi ka vo dushman-e-jaan hai toh bhula kyun nahin dete

faiz ki shayyiri

क़र्ज़-ए-निगाह-ए-यार अदा कर चुके है हम सब कुछ निसार-ए-राह-ए-वफ़ा कर चुके है हम अब एहतियात कि कोई सूरत[बचाव का रस्ता] नहीं रही कातिल से रस्म-ओ-राह सिवा[सम्पर्क बढ़ाना] कर चुके है हम देखे हैं कौन कौन, ज़रुरत नहीं रही कू-ए-सितम[अत्याचार की गली] है, चाहे जहाँ चलें रहबर से अपनी राह जुदा कर चुके हैं हम उनकी नज़र में, कया करें, फीका है अब भी रंग जितना लहू था सर्फ़-ए-कबा[वस्त्रो पर व्यय] कर चुके हैं हम कुछ अपने दिल की खू का भी शुकराना चाहिए सौ बार उनकी ख़ू का गिला[स्वभाव की शिकयात] कर चुके हैं हम

faiz ki shayyiri

karz-e-nigah-e-yaar adaa kar chuke hai hum
sab kuch nisar-e-rah-e-wafa kar chuke hai hum
ab ehtiyaat ki koi suart[way to escape] nahi rahi
kaatil se rasm-o-rah shiva[increase contact] kar chuke hai
hum dekhe hai kaun kaun, jaroorat nahin rahi
ku-e-sitam[zulm ki gali] mein sab ko khafa kar chuke hai hum
ab apna ikhtiyar hai, chahe jahan chalen
rehbar se apni raah juda kar chuke hai hum
unnki nazar mein, kya kare, feeka hai ab bhi
rang jitna lahu tha sarf-e-kabaa[expenses on clothes] kar chuke hai
hum kuch apne dil ki khu ka bhi sukrana chahiye
sau baar unnki khu ka gila[compaint of nature] kar chuke hain hum

faiz ki shayyiri

बात बस से निकल चली है
दिल की हालत संभल चली है
अब जुनूं हद से बढ़ चला है
अब तबियत बेहाल चली है
अश्क खुनाब[लहू का रंग]हो चले है
गम की रंगत बदल चली है
लाख पैगाम हो गए है
जब सबा इक पल चली है
जाओ, अब सो रहो सितारों
दर्द की रात ढल चली है

faiz ki shayyiri

baat bas se nikal chali hai
dil ki haalat sambhal chali hai
ab junoon hadh se badh chala hai
ab tabiyat behal chali hai
ashk khunaab[lahu ka rang] ho chale hai
gam ki rangat badal chali hai
laakh paigham ho gaye hai
jab saba ik pal chali hai
jaao, ab so raho sitaro
dard ki raat dhal chali hai

faiz ki shayyiri

राज़-ए-उल्फत छुपा के देख लिया
दिल आहूत कुछ जला के देख लिया
और कया देखने को बाकी है
आप से दिल लगा के देख लिया
वो मेरे होके भी मेरे ना हुए
उनको अपना बना के देख लिया
आज उनकी नज़र में कुछ हमने
सब की नज़रें बचा के देख लिया
"फैज़" तकमील-ए-गम भी हो ना सकी
इश्क को आजमा के देख लिया

wel come