be-dam huye bimaar dawa kyun nahin dete
tum achche masiha ho shifa kyun nahin dete
dard-e-shab-e-hizraan ki zaza[inaam] kyu nahi dete
khun-e-dil-e-vehshi ka sila[badla] kyun nahin dete
mit jayegi makhlook[shristi] toh insaaf karoge
munsif ho toh ab hashr utha kyun nahin dete
paimaan-e-junnon[diwangi ki kasam] haatho ko sharmayega kab tak
dilwalo, girabaan ka pata kyun nahi dete
barbadi-e-dil-zabr[majboor] nahi "faiz"
kisi ka vo dushman-e-jaan hai toh bhula kyun nahin dete
No comments:
Post a Comment