khayal-e-qaba-o-taiba main kis tarah bhoolun
ye zindgi ka sahara main kis tarah bhoolun
gunahgaron se ahkaron kam nasiib sahi
gulaam hun dar-e-aaka main kis tarah bhoolun
bahaar-e-subah-e-haram kyon na mujhe yaad aayen
sawad-e-sham-e-madiina main kis tarah bhoolun
maze uthaaye hain izhaar-e-dard-e-dil ke jahan
wo ashq-o-aah ki duniya main kis tarah bhoolun
hazar bekhudi-e-shauq hon magar 'taskeen'
khud apne dil ka fasana main kis tarah bhoolun
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label taskeen qureshi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label taskeen qureshi ki shayyiri. Show all posts
Wednesday, July 29, 2009
Thursday, June 4, 2009
taskeen qureshi ki shayyiri
ab toh yahi hain dil ki duayen
bhoolne waale bhool hi jaayen
wajah-e-sitam kuch ho toh batayen
ek muhbbat, laakh khataayen
dard-e-muhbbat, dil mein chhupaaya
aankh ke aansu kaise chhupaayen
hosh aur unnki deed ka dawa
dekhnewaale hosh mein aayen
dil ki tabaahi bhoole nahin hum
dete hain ab tak unnko duaayen
rang-e-zamana dekhanewaale
unnki nazar bhi dekhate jaayen
shugl-e-muhbbat ab hai ye 'taskeen'
shair kahen aur jii behalaayen
bhoolne waale bhool hi jaayen
wajah-e-sitam kuch ho toh batayen
ek muhbbat, laakh khataayen
dard-e-muhbbat, dil mein chhupaaya
aankh ke aansu kaise chhupaayen
hosh aur unnki deed ka dawa
dekhnewaale hosh mein aayen
dil ki tabaahi bhoole nahin hum
dete hain ab tak unnko duaayen
rang-e-zamana dekhanewaale
unnki nazar bhi dekhate jaayen
shugl-e-muhbbat ab hai ye 'taskeen'
shair kahen aur jii behalaayen
Subscribe to:
Posts (Atom)