itane dinon ke baad tu aayaa hai aaj
sochta hun kis tarah tujhse milun
mere andar jaag uthi ik chandani
main zamiin se aasaman tak ek ang hun
aur ujala ho gaya qurbat[nearness] ka chand
aur gehra ho gaya tera fusoon[magic]
ae sarapa rang-o-nikahat tu bata
kis dhanak se tera pairahan bunun
saare gul_buute tar-o-taaza huye
duur tak pahunchi hai meri mauj-e-khuun
kar rahe hain lamhe lamhe ka hisaab
mil ke phir baithe hain yaaraan-e-junoon
dasht-e-gham ki dhuup mein mujh par khula
main khud apna saaya-e-diwaar hun
naaz kar Khud par ki tu hai beshumaar
qadr kar meri ki main bas ek hun
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label athar nafees ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label athar nafees ki shayyiri. Show all posts
Thursday, July 9, 2009
athar nafees ki shayyiri
kabhi saaya hai kabhi dhuup muqaddar mera
hota rehta hai yun hi qarz barabar mera
tuut jaate hain kabhi mere kinare mujh mein
duub jaata hai kabhi mujh mein samandar mera
kisi sahara mein bichhad jaayenge sab yaar mere
kisi jangal mein bhatak jaayega lashkar mera
bawaffa tha toh mujhe puuchhne wale bhi na thay
bewaffa hun toh hua naam bhi ghar ghar mera
kitne hanste huye mausam abhi aate lekin
ek hi dhuup ne kumhala diya manzar mera
aaKhiri jur'a-e-pur_kaif[intoxicating last sip] ho shayad baaqi
ab jo chhalka toh chhalak jaayega sagar[wine cup] mera

lamhon ke aazab sah raha hun
main apne wajuud ki saza hun
zakhmon ke gulaab khil rahe hain
khushbu ke hujuum mein khada hun
iss dasht-e-talab mein ik main bhi
sadiyon ki thaki hui sada hun
benaam-o-numuud zindagi ka
ik bojha uthaaye phir raha hun
ik aisa chaman hai jis ki khushbu
saanson mein basaaye phir raha hun
ik aisi zamin hai jis ko chhu kar
takadiis-e-haram se aashna hun
aai mujhko fareb dene waale
main tujh par yaqiin kar chuka hun
main tere qariib aate aate
kuch aur bhi duur ho gaya hun
main apne wajuud ki saza hun
zakhmon ke gulaab khil rahe hain
khushbu ke hujuum mein khada hun
iss dasht-e-talab mein ik main bhi
sadiyon ki thaki hui sada hun
benaam-o-numuud zindagi ka
ik bojha uthaaye phir raha hun
ik aisa chaman hai jis ki khushbu
saanson mein basaaye phir raha hun
ik aisi zamin hai jis ko chhu kar
takadiis-e-haram se aashna hun
aai mujhko fareb dene waale
main tujh par yaqiin kar chuka hun
main tere qariib aate aate
kuch aur bhi duur ho gaya hun
athar nafees ki shayyiri
sochte aur jaagte saanson ka ik dariya hun main
apne gum_gashta[lost] kinaaron ke liye behta hun main
jal gaya saaraa badan inn mausamon ki aag mein
ek mausam ruuh ka hai jis mein ab zinda hun main
mere honton ka tabassum de gaya dhokha tujhe
tuune mujhko baag jaana dekh le sehara hun main
dekhiye meri paziraaii [acceptance] ko ab aata hai kaun
lamha bhar ko waqt ki dehaleez par aaya hun main

vo ishq jo ham se ruuth gaya ab usska haal batayen kya
koi mehar nahin koi qahar nahin phir sachcha sher sunayen kya
ik hizr jo hamko laahak hai taa der usse doharayen kya
vo zahar jo dil mein utaar liya phir usske naaz uthaayen kya
ik aag gham-e-tanhaai ki jo saare badan mein phail gayi
jab jism hi saara jalata ho phir daaman-e-dil ko bachayen kya
ham nagmasara kuch gazalon ke ham surat_gar kuch khwaabon ke
bejazba-e-shauq sunayen kya koi khwab na ho toh batayen kya

Subscribe to:
Posts (Atom)