kabhi saaya hai kabhi dhuup muqaddar mera
hota rehta hai yun hi qarz barabar mera
tuut jaate hain kabhi mere kinare mujh mein
duub jaata hai kabhi mujh mein samandar mera
kisi sahara mein bichhad jaayenge sab yaar mere
kisi jangal mein bhatak jaayega lashkar mera
bawaffa tha toh mujhe puuchhne wale bhi na thay
bewaffa hun toh hua naam bhi ghar ghar mera
kitne hanste huye mausam abhi aate lekin
ek hi dhuup ne kumhala diya manzar mera
aaKhiri jur'a-e-pur_kaif[intoxicating last sip] ho shayad baaqi
ab jo chhalka toh chhalak jaayega sagar[wine cup] mera
No comments:
Post a Comment