Showing posts with label s. azam shah khan ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label s. azam shah khan ki shayyiri. Show all posts

Saturday, June 6, 2009

s. azam shah khan ki shayyiri

iss se pehle ke zamane ko khabar ho jaaye
khuda kare ke shab-e-gham ki sahar ho jaaye
khula rahega yeh darwaza tere aane tak
laut kar aana kahin shaam agar ho jaaye
abas hai arzu karna bhi roshni ki yahan
diya jale toh hawaon ki nazar ho jaaye
jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai
raat tahna kabhi aaye toh basar ho jaaye
tu kabhi chasm-e-tasavur se unnhe dekh zara
manzilon pe jinhe darpesh safar ho jaaye
kucha-e-dil se chale 'khan' toh halat yeh thi
jaise deewana koi shahr badar ho jaaye

s. azam shah khan ki shayyiri

sitamgaron ki tarafdaar ho gayi shayad
zindgi tu bhi riyakaar ho gayi shayad
tere jaane ka sabab aur kuch nahi lekin
toh kahin mujhse hi bezaar ho gayi shayad
aaj chup-chup hai bohat bolne wala kaise
aaj khud se koi takraar ho gayi shayad
ufaq pe duur koi duub raha hai jal kar
teergi dil ke aar paar ho gayi shayad
seh raha hun main kabse hizr ka khanjar jana
aaj ki shab bhi intizaar ho gayi shayad
'khan' rukhsar jo bhege hain kuch hua hai sahi
dil ki hasrat tera didaar ho gayi shayad

wel come