bikharte tuut'te lamhon ko apna humsafar jana
tha iss raah mein aakhir hamen khud bhi bikhar jana
kawa ke dosh par badal ke tukde ki tarah hum hain
kisi jhonke se puuchenge ki hai humko kidhar jana
mere jalte huye ghar ki nishani bas yahi hogi
jahan iss shahr mein roshni dekho thahr jana
pas-e-zulmat koi suraj hamara muntazir hoga
issi ek veham ko hum ne chirag-e-rah_guzar jana
dayyar-e-khamoshi se koi reh reh kar bulata hai
hamen 'makhmoor' ek din hai issi awaaz par jana