nazar uss husn par thehre toh akhir kis tarah thehre
kabhi vo phool ban jaaye kabhi rukhsaar ho jaaye
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label asghar gondvi ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, August 11, 2009
Wednesday, July 8, 2009
asghar gondvi ki shayyiri
ye raaz hai meri zindagi ka
pahne huye hun kafan khudi ka
phir nashtar-e-gham se chheate hai.n
ik tarz hai ye bhi dil dahii ka
o lafz-o-bayaa.N mein chhupne wale
ab qasd hai aur khamoshi ka
marna toh hai ibtada ki ik baat
jeena hai kamal muntahi ka
haan seena gulon ki tarah kar chaak
de marr ke saboot zindagi ka
pahne huye hun kafan khudi ka
phir nashtar-e-gham se chheate hai.n
ik tarz hai ye bhi dil dahii ka
o lafz-o-bayaa.N mein chhupne wale
ab qasd hai aur khamoshi ka
marna toh hai ibtada ki ik baat
jeena hai kamal muntahi ka
haan seena gulon ki tarah kar chaak
de marr ke saboot zindagi ka
asghar gondvi ki shayyiri
ye mujhse puuchhiye kya justju mein lazzat hai
fazaa-e-dahar mein tahaleel[immersed] ho gaya hun main
hata ke sheesha-o-sagar hujuum-e-masti mein
tamaam arsaa-e-aalam[whole world] pe chha gaya hun main
uda huun jab toh falak pe liya hai dam ja kar
zamiin ko tod gaya hun jo reh gaya hun main
rahi hai khaak ke zarron mein bhi chamak meri
kabhi kabhi toh sitaaron mein mil gaya hun main
samaa gaye meri nazaron mein chha gaye dil par
khayal karta hun unnko ki dekhta hun main

ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan[hidden] hai
qatre mein samandar hai zarre mein bayabaan[wilderness] hai
ae paikar-e-mehboobi[form of the beloved] main kis se tujhe dekhun
jis ne tujhe dekha hai vo diidaa-e-hairan[blind to everything else] hai
sau baar tera daaman haathon mein mere aaya
jab aankh khulii dekha apna hi girebaan hai
ye husn ki maujen hain ya josh-e-tamnna hai
uss shokh ke honton par ik barq[lightning] si larazan[trembling] hai
'asghar' se mile lekin 'asghar' ko nahin dekha
ashaar mein sunte hain kuch kuch vo numaayan[evident] hai

paas-e-adab mein josh-e-tamnna liye huye
main bhi hun ek hubaab mein dariya liye huye
rag-rag mein aur kuch na raha juz khayal-e-dost
uss shokh ko hun aaj sarapa liye huye
sarmaaya-e-hayaat hai hirmaane-e-aashiqi
hai saath ek suurat-e-zeba liye huye
josh-e-junoon mein chhuut gaya aastan-e-yaar
rote hain munh mein daaman-e-sahra liye huye
'asghar' hujuoom-e-dard-e-gareebi mein usski yaad
aayi hai ik tilismii tamnna liye huye

maujon ka aks hai khat-e-jaam-e-sharab mein
yaa khuun uchhal raha hai rag-e-mahtab mein
vo maut hai ki kehte hain jisko sukuun sab
vo ai_n zindagi hai jo hai iztaraab mein
dozakh bhi ek jalwa-e-firdaus se husn hai
jo iss se bekhabar hain vahi hain azaab mein
uss din bhi meri ruuh thi mahv-e-nishaat-e-diid
muusa ulajh gaye thay sawal-o-jawab mein
main iztaraab-e-shauq kahun yaa jamaal-e-dost
ik barq hai jo kaundh rahi hai naqaab mein

ik aalam-e-hairat hai fana hai na baqaa hai
hairat bhi ye hai ki kya jaaniye kya hai
sau baar jala hai to ye sau baar bana hai
ham sokhta jaanon ka nasheman bhi bala hai
honton pe tabassum hai ki ek barq-e-bala hai
aankhon ka ishara hai ki sailab-e-fana hai
sunta hun bade gaur se afsana-e-hasti
kuch khwab hai kuch asl hai kuch tarz-e-ada hai
hai tere tasavvur se yahan nuur ki baarish
ye jaan-e-haziin hai ki shabistaan-e-hira hai

khuda jaane kahan hai 'asghar'-e-diwana barson se
ki ussko dhundhate hain kaaba-o-buutkhana barason se
tadpna hai na jalna hai na jal kar khaak hona hai
ye kyon soyi hui hai fitrat-e-parwana barason se
koi aisa nahin yaa rab ki jo iss dard ko samjhe
nahin mallum kyon khamosh hai diwana barason se
hasiinon par na rang aaya na phuulon mein bahaar aayi
nahin aaya jo lab par nagma-e-mastana barason se

Tuesday, June 2, 2009
asghar gondvi ki shayyiri
chala jaata hun hansta khelta mauj-e-havadis se
agar aasaniyan hon, zindagi dushwar ho jaaye

Subscribe to:
Posts (Atom)