ik aalam-e-hairat hai fana hai na baqaa hai
hairat bhi ye hai ki kya jaaniye kya hai
sau baar jala hai to ye sau baar bana hai
ham sokhta jaanon ka nasheman bhi bala hai
honton pe tabassum hai ki ek barq-e-bala hai
aankhon ka ishara hai ki sailab-e-fana hai
sunta hun bade gaur se afsana-e-hasti
kuch khwab hai kuch asl hai kuch tarz-e-ada hai
hai tere tasavvur se yahan nuur ki baarish
ye jaan-e-haziin hai ki shabistaan-e-hira hai
No comments:
Post a Comment