Showing posts with label insha khan insha ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label insha khan insha ki shayyiri. Show all posts

Friday, May 22, 2009

insha khan insha ki shayyiri

kamar bandhe huye chalne pe yaan sab yaar baithe hain
bohat aage gaye, baaqi jo hain tayyaar baithe hain
na chhed ae nik'hat-e-baad-e-bahari raah lag apni
tujhe atkheliyan suujhii hain, ham be-zaar baithe hain
tasavvur arsh par hai aur sar hai paa-e-saaqi par
gharz kuch aur dhun mein isa ghadi mai-khwaar baithe hain
yeh apnii chaal hai uftaagii se inn dinon pahron
nazar aaya jahaan par saaya-e-diwaar baithe hain
bhala gardish falak ki chain deti hai kise 'insha'
ghanimat hai ki ham suurat yahan do chaar baithe hain


insha khan insha ki shayyiri

khayal kijiye, kya kaam aaj maine kiya
jab un ne di mujhe gaali, salaam maine kiya
kaha ye sabr ne ....dil se ... ki lo khuda hafiz
ke haq-e-bandgi apna, tamaam maine kiya
jhidak ke kehne lage, ... lab chale bahut ab tumhare[jayda bolba]
kabhi jo bhool ke unnse, kalaam[behas] maine kiya
.hawas[wish] yeh reh gayi, sahib ne ... par kabhi na kaha ...
"ke aaj se tujhe,'insha' ... gulaam maine kaha"

wel come