kamar bandhe huye chalne pe yaan sab yaar baithe hain
bohat aage gaye, baaqi jo hain tayyaar baithe hain
na chhed ae nik'hat-e-baad-e-bahari raah lag apni
tujhe atkheliyan suujhii hain, ham be-zaar baithe hain
tasavvur arsh par hai aur sar hai paa-e-saaqi par
gharz kuch aur dhun mein isa ghadi mai-khwaar baithe hain
yeh apnii chaal hai uftaagii se inn dinon pahron
nazar aaya jahaan par saaya-e-diwaar baithe hain
bhala gardish falak ki chain deti hai kise 'insha'
ghanimat hai ki ham suurat yahan do chaar baithe hain
No comments:
Post a Comment