duniya ne zar ki khatir kya kuch nahi kiya
aur humne shairy ke siva kuch nahi kiya
gurbat mein bhi apne paas hai bhook-nang bhi
kaise kahen ussne ata kuch nahi kiya
chup-chap ghar ke sehan mein faqe bicha diye
rozi rasaan se humne gila kuch nahi kiya
pechle baras bhi boi thi lafazon ki khetian
ab ke baras bhi iss ke siva kuch nahi kiya
gurbat ki tez aag par aksar pakai bhook
khushhaliyon ke shehr mein kuch nahi kiya
basti mein khaak udai na sehra mein hum gaye
kuch din se humne khalq khuda kuch nahi kiya
maangi nahi kisi se bhi hamdardiyon ki bheek
'sajid' kabhi khilaaf-e-ana kuch nahi kiya
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label aitbar sajid ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009
Tuesday, June 23, 2009
aitbar sajid ki shayyiri
thi jis e roshni , woh diya bhi nahi raha
ab dil ko aitbaar-e-hawa bhi nahi raha
tu bujh gaya toh hum bhi firozaa'n na reh sake
tu kho gaya toh apna pata bhi nahi raha
kuch hum bhi tere baad zamaane se kat gaaye
kuch rabt-o-zabt-e-khuda bhi nahi raha
goya hamaare haq mein sitam dar sitam hua
harf-e-dua bhi, dast-e-dua bhi nahi raha
kya shayari karen ke tere baad shehr mein
lutf-e-kalaam, kaif-e-nawa bhi nahi raha

chiragh-e-jaa'n ko spurd-e-hawa bhi uss ne kiya
phir apne aap ko waaqif-e-dua bhi uss ne kiya
mere dukho'n ki talaafi bhi usske pyar ne ki hai
sha'oor-e-ghum se aashna bhi uss ne kiya
ussi ne zehr diya mujhko khud-shanaasi ka
mujhe shikaar-e-azaab-e-anaa bhi uss ne kiya

Friday, June 12, 2009
aitbar sajid ki shayyiri
main kise suna raha hun yeh ghazal muhbbaton ki
kahin aag sazishon ki kahin aanch nafraton ki
koi baagh jal raha hai yeh magar meri dua hai
mere phool tak na pahunche yeh hawa tamazaton ki
mera kaun sa hai mausam mere mausamon ke wali
yeh bahar bedili ki yeh khizan muhbbaton ki
main qadeem baam-o-dar mein unnhen ja ke dhundhta hun
vo dayyar nikhaton ke wo fizaayen chahton ki
kahin chaand ya sitare huye humkalaam mujh se
kahin phool seedhiyon ke kahin jhaadiyan chahton ki
mere kaaghzon mein shayed kahin ab bhi soa rahi ho
koi subha gulstan ki koi sham parbaton ki

chahat ki rahguzar mein tijarat nahi karo
aisa hi shaunq hai toh muhbbat nahi karo
jab dil se har qasoor ko tasleem kar liya
lafzon mein baar baar wazaahat nahi karo
saansen mera na qaid karo sood ke ewaz
mujhse waool jeene ki qeemat nahi karo
taqseem baam-o-darr ki yeh zannat nahi karo
ik aakhri panah toh rehne do mere paas
mujhse juda yeh ghar, yeh meri chahat nahi karo
tum zar-khareed munsif-o-aadil ho, iss liye
mere muaamle ki samaa'at nahi karo

tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha
yahi umar thi mere hamnashin ke kisi se mujhko bhi pyar tha
main samajh raha hun teri kasak, tera mera dard hai mushtarak
issi gham ka tu bhi aseer hai issi gham ka main bhi shikar tha
faqat ek dhun thi ke raat din ussi khaabzaar mein ghum rahen
vo saraapa aisa suroor tha vo khumar aisa khumar tha
kabhi lamhe bhar ki bhi guftgu meri usske saath na ho saki
mujhe fursaten nahi mil saki vo hawa ke rath pe sawar tha
hum ajeeb tarz ke log thay ke hamare aur bhi rog thay
main khizan mein usska tha muntazar usse intzaar-e-bahar tha
usse padh ke tum na samjh sake ke meri kitab ke roop mein
koi qarz tha kai saal ka kai ratjagon ka udhar tha

tujhse bechad ke aankh ko nam kis liye kare
tujhko malaal nahi toh hum kis liye kare
duniya ki be_rukhi toh nahi hai koi jawaaz
iss shiddat-e-khaloos ko kam kis liye kare
taa_umar qurbton ka toh emkaan hi na tha
aakhir faraq-e-yaar ka gham kis liye kare
apna junoon huye daad-o-sataysh se beneyaz
phir be_khudi ka haal raqam kis liye kare
Jin ke liye ufaq pe chamkte hain raasten
matti pe sabt naqsh-e-kadam kis liye kare
manoos ho chuke hain andheron se apne log
ab ehtejaj subh karam kis liye kare
sajad koi nayi toh nahi hai yeh tergi
aakhir malaal-e-sham alam, kis liye kare !!

Subscribe to:
Posts (Atom)