main kise suna raha hun yeh ghazal muhbbaton ki
kahin aag sazishon ki kahin aanch nafraton ki
koi baagh jal raha hai yeh magar meri dua hai
mere phool tak na pahunche yeh hawa tamazaton ki
mera kaun sa hai mausam mere mausamon ke wali
yeh bahar bedili ki yeh khizan muhbbaton ki
main qadeem baam-o-dar mein unnhen ja ke dhundhta hun
vo dayyar nikhaton ke wo fizaayen chahton ki
kahin chaand ya sitare huye humkalaam mujh se
kahin phool seedhiyon ke kahin jhaadiyan chahton ki
mere kaaghzon mein shayed kahin ab bhi soa rahi ho
koi subha gulstan ki koi sham parbaton ki
No comments:
Post a Comment