aise hizr ke mausam ab kab aate hain
tere alawa yaad hamen sab aate hain
jazb kare kyon reit hamare ashkon ko
tera daaman tar karne ab aate hain
ab vo safar ki taab nahin baaqi varna
hamko bulaave dasht se jab tab aate hain
jagti aankhon se bhi dekho duniya ko
khvabon ka kya hai vo har shab aate hain
kaagaz ki kashtii mein dariya paar kiya
dekho ham ko kya kya karatab aate hain
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label shahryar ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009
Monday, July 27, 2009
shaam hone wali hai
ae musafir-e-tanha, shaam hone wali hai
jald laut ke ghar ja, shaam hone wali hai
baithne lage aa kar kya parinde shakhon par
dekh raks pedon ka, shaam hone wali hai
aaj paanv ke neeche, koi shai zamiin-sii hai
aaj kya gazab hoga, shaam hone wali hai
reit ke samandar mein ek naav kaaghaz ki
kaise sach hua sapna, shaam hone wali hai
jagmaga raha hai phir aasman chiikhon se
aur tuuta sanata, shaam hone wali hai
dhoondh ke dariche bhi bandh hone wale hain
bhool ja ki kya dekha, shaam hone wali hai

Thursday, July 23, 2009
bura ho gaya main
dost ahbaab ki nazaron mein bura ho gaya main
waqt ki baat hai kya hona tha, kya ho gaya main
dil ke darwaze ko vaa[khula] rakhne ki aadat thi mujhe
yaad aata nahin kab kis se juda ho gaya main
kaise tu sunta bada shor tha sannaton ka
door se aati hui aisi sada ho gaya main
kya sabab isska tha, khud mujhko bhi mallum nahin
raat khush aa gayi, aur din se khaffa ho gaya main
bhoole-bisare huye logon mein kashish ab bhi hai
unnka zikr aaya ki phir nagmasara ho gaya main

sabse juda hun main bhi
sabse juda hun main bhi, allag tu bhi sabse hai
iss sach ka eitraaf zamane ko kab se hai
phir log kyun hamara kaha maante nahin
suraj ko khauff saaya-e-diwar-e-shab se hai

manzar
jo manzar dekhne wali hain aankhein rone wala hai
ki phir banzar zamiin mein beej koi bone wala hai
bahaduur log naadim ho rahe hain hairti main hun
azab dehshat-khabar hai shehr khali hone wala hai

lamha-e-nayaab
suno khush-bakht logo ! lamha-e-nayaab aaya hai
zamiin par pairhan pehne bina mahtaab aaya hai
bana sakta hai tum mein koi kaghaz-naav batlaao
suna hai shehr mein, ae shehriyo sailaab aaya hai

payas ka rishta
katega dekhiye din jaane kis azaab ke saath
ki aaj dhoop nahin nikli aaftab ke saath
toh phir batao samandar sada ko kyun sunte
hamari payas ka rishta tha jab saraab ke saath
badi ajeeb mehak saath le ke aayi hai
naseem, raat basar ki kisi gulab ke saath
fiza mein door talaq marhaba ke naare hain
guzarne wale hain kuch log yaan se khwab ke saath
zamiin teri kashish khinchlti rahi humko
gaye zaroor thay kuch door mahtaab ke saath

nazar-e-meer
zinda logon se kabhi khul ke mulaqat karo
koi din ahle-jahan saire-kharabaat karo
kitni tariqi hai, ahbaab hamen rukhsat do
mashale-dard jalaani hai, hawa saath karo
jaane kya toot raha hai kahin aawaz suno
isske baare mein batao hamen kuch baat karo
haan karam khoob karo ahle-hawas par janan
jo tumhen chahe hain, unnki bhi madaraat karo

badan ke bojh ko
jo pehle khoob hansa zindgi pe royega ab
ye aadmi ki mau'amma misaal hoyega ab
hazaron raaten jaga, khwab ane wale thay
nahin khwab toh jii-bhar ke khoob soyega ab
junoon ki faslon ko sarsabz dekhne ki saza
milegi yun ki kahin kuch koi na boyega ab
kiya hai jo bhi, kiya rooh ke ishare par
badan ke bojh ko tu bol, kaise doyega ab

waqfa-e-judai
waqfa-e-judai ko usske naam kar do tum
apne dil ke andhar hi baar-baar jhankon tum
kya khabar ki kya tumko jalwa usska mil jaaye
khwab achche hote hain, khwab khoob dekho tum
veh vahan tha, phir yaan tha, ab kahan hai batlaao
aks usske saaye ka dekh kar na phoolo tum
ussne apne milne ki, ik jagah nahin tai ki
aasman se laut aaye, ab zamiin pe dhoondho tum
chand aur sitaron ki saans phool jaati hai
phir bhi ae junoon walo usski samt daudo tum

ye chahti hai hawa
ye chahti hai hawa ussko aazmaoon na main
koi chirag kahin bhi, kabhi jalaaon na main
sukoot-saaya rahe iss zamiin par har dam
koi sada, koi fariyaad lab pe laaon na main
yunhi bhatkta rahun umr bhar udas-udas
surag bichade huon ka kahin bhi paaon na main
safar ye mera ksisi taur mukhtsar ho jaaye
vo mod aaye ki jii chahe aage jaaon na main
bhula toh doon tere kehne pe tujhko dil se main
magar ye shart hai tujhko bhi yaad aaon na main

aisi tariqi hai
aisi tariqi hai, mera dil bohat ghabraye hai
khwab dekhon kis tarah main, aankh khul-khul jaaye hai
soa raha hai shehr sanaaton ki chaadar audh kar
meri yeh aawaz dar-dar jaaye hai, pachtaye hai
aa rahe hain chand saaye dhoondh ke uss par se
dekhna hai, kaun meri uljhane suljhaye hai
aaj ka din haan koi achcha nahin taslim hai
aane wala din bohat behtar hai, meri raaye hai

ek hi dhun hai
ek hi dhun hai ki iss raat ko dhalta dekhoon
apni inn ankhon se suraj nikalta dekhoon
ae junoon tujhse takaza hai yahi dil ka mere
shehr-e-ummid ke naqshe ko badalta dekhoon
yeh safar veh hai ki rukne ko muqaam iss mein nahin
main jo thak jaaun toh parchaai ko chalta dekhoon
chahe tariqi mukhaliq ho, hawa dushman ho
mashaale-dard ko har haal mein jalta dekhoon
wasl-aasaar koi lamha mayssar aaye
hizr ki sa'aate-be_mehar ko tal'ta dekhoon

dil mein rakhta hai na
dil mein rakhta hai na palkon pe bithata hai mujhe
phir bhi ik shaks mein kya-kya nazar aata hai mujhe
raat ka waqt hai suraj hai mera rehnuma
der se, door se yeh kaun bulata hai mujhe
meri inn ankhon ko khwabon se pashemani hai
neend ke naam se jo haul-sa aata hai mujhe
tera munkir nahin ae waqt magar dekhta hai
bichade logon se kahan, kaise milaata hai mujhe
qisse-dard mein yeh baat kahan se aayi
main bohat hansta hun, jab koi sunaata hai mujhe

zamiin daman kashan hai
zamiin daman kashan hai ab jiyan se
issi baaees hai nisbat aasman se
bohat musroof ho tum, waqt kam hai
sunaate hain kahani darmiyan se
hawa ne kar diya be samt phir se
juda kashti ko karke baadbaan se
musafir sab vahin ab tak khade hain
chale thay muddaton pehle jahan se
jo payse thay, sada payse rahenge
samandar dhak gaya rege-rawan se
badalte manzaron se aankh hairan
sada khaeef sukoot-e-bekran se
issi baaees hai nisbat aasman se
bohat musroof ho tum, waqt kam hai
sunaate hain kahani darmiyan se
hawa ne kar diya be samt phir se
juda kashti ko karke baadbaan se
musafir sab vahin ab tak khade hain
chale thay muddaton pehle jahan se
jo payse thay, sada payse rahenge
samandar dhak gaya rege-rawan se
badalte manzaron se aankh hairan
sada khaeef sukoot-e-bekran se
teri gali se dabe paanv
teri gali se dabe paanv kyun guzarta hun
vo aisa kya hai jise dekhne se darta hun
kisi uffaq ki zaroorat hai meri aankhon ko
jo aaj khalq naya aasman karta hun
bade jatan se, bade ehtmaam se tujhko
bhula raha hun, muhbbat ka dam bhi bharta hun
utaarna hai mujhe karz kitne logon ka
zara sakoon mile toh hisaab karta hun
azab nahin ki kisi yaad ka gauhar mil jaaye
gaye dinon ke samandar mein phir utarta hun

main tanha gaya tha
mehfil mein bohat log thay, main tanha gaya tha
haan, tujhko vahan dekh ke kuch darr-sa gaya tha
yeh haadsa, kis waqt, kahan, kaise hua tha
payason ke taaquub[peeche] mein, suna, dariya gaya tha
aankhein hain ki bas rozne-diwar[[kharokha] hui hain
iss tarah tujhe pehle kabhi dekha gaya tha
ae khalq-e-khuda tujhko yaqiin aaye na aaye
kal dhoop tehffuz ke liye saaya gaya tha
veh kaun-sii sa'aat thi, pata ho toh bataao
yeh waqt, shab-o-roz mein jab baanta gaya tha

haqiqat hun ki
haqiqat hun ki bas ik vahma hun
ye pucha ja raha hai mujhse kya hun
bohat khush ajnabi logon se mil kar
hua hun dosto aksar hua hun
yahan se koi gujarega nahin kya
ki muddat se yahan tanha khada hun
kahan par saath chhoda yaad-e-jaana !
sukoot-e-shaam se darne laga hun
mujhe ab bhi hain suraj se umeedien
andheron tumse jo main lad raha hun
kahun, gar saath den alfaaz mera
main inn ankhon se jo kuch dekhta hun
ye pucha ja raha hai mujhse kya hun
bohat khush ajnabi logon se mil kar
hua hun dosto aksar hua hun
yahan se koi gujarega nahin kya
ki muddat se yahan tanha khada hun
kahan par saath chhoda yaad-e-jaana !
sukoot-e-shaam se darne laga hun
mujhe ab bhi hain suraj se umeedien
andheron tumse jo main lad raha hun
kahun, gar saath den alfaaz mera
main inn ankhon se jo kuch dekhta hun
suraj ka jalna
suraj ka jalna, bujh jana, khel hawa ke haath ka hai
mere shehr pe issi liye toh saaya kaali raat ka hai
qaid hun khud hi ik muddat se duuri ki diwaron mein
kya batlaaon kaise rishta mujhse meri raat ka hai
inn jhulse paudon ko dekho aasman ko takte hain
kehne walon ka kehna hai, mausham yeh barsaat ka hai
meri tarah usski aankhein bhi khauff chamak se khali hai
ye aahu[hiran], ye vehshi aahu, shayad mere saath ka hai
badan-zaroorat se bhi jyada jism-hawas parwaan chadhi
hona tha jo vahi hua hai, shikwa kyun haalat ka hai

hadh se guzar jaane ko kehti hai
mujhe khwab aasman se phir utar jaane ko kehti hai
suno toh, neend aankhon mein thehr jaane ko kehti hai
har ik aalam mein jis ne darmiyan ik fansla rakha
vahi parchai ab hadh se guzar jaane ko kehti hai
jahan bhi, jab bhi milti hai, hamesha zindgi mujhse
koi bilkul anokha kaam kar jaane ko kehti hai
mujhe iss dasht mein sab kuch mayssar hai magar phir bhi
koi awaaz hai, jo roz ghar jaane ko kehti hai
azab-sii dhoondh thi, mehfooz jisne raat se rakha
magar ab veh bhi mujhko chodkar jaane ko kehti hai

Subscribe to:
Posts (Atom)