Showing posts with label surender chaturvedi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label surender chaturvedi ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 1, 2009

surender chaturvedi ki shayyiri

raat ko tanhaiyon ke saath ghar jaata hun main
apne hi ehsaas ki aahat se darr jaata hun main
ruuh mein tabdeel ho jaata hai mera ye badan
jab kisi ki yaad mein hadh se guzar jata hun main
main lahu se reit par likha hua ik naam hun
gar koi mehsuus kaar le toh ubhar jaata hun main
main siddat khushbuon ki pyar se mehaki hui
chhu le koi toh hawaon mein bhikar jaata hun main
ek sufi ki ghazal ka shair hun main dosto
bekhudi ke raste dil mein utar jaata hun main
bandh aankhon se kiya karta hun main lakhon safar
log aksar sochte hain ki kidhar jaata hun main
apne hisse ki jinhen main neend aaya saunp kar
gham hai aksar unnke khwabon mein bhi marr jaata hun main
dard ki dargah mein karta jiyaarat jab kabhi
karke ashqon se vaju khud mein bikhar jaata hun main

surender chaturvedi ki shayyiri

aasman mujhse mila toh vo zara sa ho gaya
tha samandar main magar barsa toh payasa ho gaya
zindgi ne bandh muthhi iss tarah se khol di
gham ki saari vardaaton ka khulasa ho gaya
neend mein tumne mujhe iss tarah aa kar chuu liya
ik purana khwab tha lekin naya sa ho gaya
jis ghaddi mehsoos tujhko dil mera karne laga
uss mein shamil mere jaise nasha sa ho gaya
ajnabi ehsaas mujhko dard ke dar par mila
saath jab roye toh vo mujhse shansa ho gaya
usske gham alfaaz ki ungli pakad kar jab chale
dard ka ghazlon mein meri tarzuuma sa ho gaya

surender chaturvedi ki shayyiri

mat chiragon ko hawa do bastiyan jal jayengi
ye hawan vo hai ki jis mein ungliyan jal jayengi
maanta hun aag pani mein laga sakte hain aap
par magarmachhon ke sang machhliyan jal jayengi
raat bhar soya nahin gulshan yahi bas soch kar
vo jala toh saath usske titliyan jal jayengi
janta hun baad marne ke mujhe phonkege log
main magar jinda rahunga lakdiyan jal jayengi
usske baste mein rakhi jab maine mazhab ki kitab
vo ye bola abba meri kaapiyan jal jayengi
aag baabar ki lagao ya lagao ram ki
lag gayi toh aayetein chopaiyan jal jayengi

surender chaturvedi ki shayyiri

ye nahin ki naav ki hi zindgi khatre mein hai
daur hai aisa ki ab poori nadi khatre mein hai
bach gaye manzar suhane farq kya pad jayega
jabki yaaron aankh ki hi roshni khatre mein hai
ab toh samjho korwaon ki chaal nadaan pandvo
hosh mein aao tumhari daropadi khatre mein hai
apne bachon ko dikhayoge kahan agli sadi
ji rahe ho jis mein tum vo hi sadi khatre mein hai
mandiron aur maszidon ko ghar ke bihtar lo bana
varna khatre mein azaanen, aarti khatre mein hai
na toh nanak, na hi isha, ram na rehman hi
pujta hai jo innhen vo aadmi khatre mein hai

wel come