raat ko tanhaiyon ke saath ghar jaata hun main
apne hi ehsaas ki aahat se darr jaata hun main
ruuh mein tabdeel ho jaata hai mera ye badan
jab kisi ki yaad mein hadh se guzar jata hun main
main lahu se reit par likha hua ik naam hun
gar koi mehsuus kaar le toh ubhar jaata hun main
main siddat khushbuon ki pyar se mehaki hui
chhu le koi toh hawaon mein bhikar jaata hun main
ek sufi ki ghazal ka shair hun main dosto
bekhudi ke raste dil mein utar jaata hun main
bandh aankhon se kiya karta hun main lakhon safar
log aksar sochte hain ki kidhar jaata hun main
apne hisse ki jinhen main neend aaya saunp kar
gham hai aksar unnke khwabon mein bhi marr jaata hun main
dard ki dargah mein karta jiyaarat jab kabhi
karke ashqon se vaju khud mein bikhar jaata hun main
No comments:
Post a Comment