Showing posts with label jaan nisar akhtar ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label jaan nisar akhtar ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

ye ilm ka sauda

ye ilm ka sauda, ye risaale, ye kitaaben
ik shaks ki yaadon ko bhulane ke liye hain

Thursday, May 7, 2009

jaan nisar akhtar ki shayyiri

subah ke dard ko, raaton ki jalan ko bhuulen
kiske ghar jaayen ki uss vada-shikan ko bhuulen

Tuesday, March 31, 2009

jaan nisar akhtar ki shayyiri

रुखों के चांद, लबों के गुलाब मांगे है
बदन की प्यास, बदन की शराब मांगे है
मैं कितने लम्हे न जाने कहाँ गँवा आया
तेरी निगाह तो सारा हिसाब मांगे है
मैं किस से पूछने जाऊं कि आज हर कोई
मेरे सवाल का मुझसे जवाब मांगे है
दिल-ए-तबाह का यह हौसला भी क्या कम है
हर एक दर्द से जीने की ताब मांगे है
बजा कि वज़ा-ए-हया भी है एक चीज़ मगर
निशात-ए-दिल तुझे बे-हिजाब मांगे है

jaan nisar akhtar ki shayyiri

rukhon ke chaand, labon ke gulaab maange hai
badan ki payas, badan ki sharaab maange hai
main kitne lamhe na jaane kahaan ganwa aaya
teri nighah toh sara hisaab maange hai
main kis se puuchne jaaon ki aaj har koi
mere sawaal ka mujhse jawab maange hai
dil-e-tabah se jeene ki taab maange hai
har ik dard se jeene ki taab maange hai
baja ki vazaa-e-haya bhi hai ek cheez magar
nishaat-e-dil tujhe be_hizab maange hai

wel come