Showing posts with label simaab ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label simaab ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

ye ruquaa kya

ye ruquaa[namaz ke liye jhukna] kya, ye qayaas kya, ye sajood kya, ye salaam kya
faqat ik fareb-e-niyaaz hai, jo na mehviyat ho namaaz mein

roz_afzuu

taraaqi par hai roz_afzuu khalish dard-e-muhbbat ki
jahan mehsuus hoti thi vahan maloom hoti hai

mazhabo-millat se

kadeem mazhabo-millat se gar nahi taskiin
toh phir nayi koi raah-e-nazaat paida kar

Tuesday, August 11, 2009

miyad-e-qaid

zindgi do din ki hai, lambi hai miyad-e-qaid
aaj aaya hai qafas mein, kal riha ho jayega

lamha lamha

waqiyaat ishq ka tha lamha lamha ek sadi
har nafas mein maine ik rumaan paida kar diya

Friday, May 29, 2009

simaab ki shayyiri

sar_gashta[pareshan]-e-zamaal ki hairaniyan na puuch
har zarre ke hijaab mein ik aaiina mila

Friday, May 22, 2009

simaab ki shayyiri

dil ki bisaat kya thi nigaah-e-jamaal mein
ek aaiina tha toot gaya dekh-bhal mein
sabar aa hi jaaye gar basar ho ek haal mein
imkaan ek aur zulm hai qaid-e-muhaal mein
aazurda hun iss qadar sarab-e-khayal se
jii chahta hai tum bhi na aao khayal mein
duniya hai khwab, haasil-e-duniya khayal hai
insan khwab dekh raha hai khayal mein
umar-e-do_roza waqayi khwab-o-khayal thi
kuch khwab mein guzar gayi, kuch khayal mein
seemab akbarabadi

Thursday, May 21, 2009

simaab ki shayyiri

ye ek hi toh nemate-insan-nawaz[divine gift] thi
dil mujhko mil gaya toh khudai ko kya mila

Saturday, May 2, 2009

simaab ki shayyiri

vo khud ata kare toh zahanuum bhi hai bihisht[paradise]
maangi huyi nizaat mere kaam ki nahin

Tuesday, April 28, 2009

simaab ki shayyiri

nikala mujhko mehfil se magar itna na samjhe tum
ki ik hasratzda kyunkar bhari mehfil se niklega

Thursday, April 16, 2009

simaab ki shayyiri

किसी ने हाल कुछ इस तरह पुछा
दुआ निकली दिले-अंदोहगी[दुखी] से

simaab ki shayyiri

kisi ne haal kuch iss tarah poocha
du nikli dil-e-andohgi se

wel come