Showing posts with label mir nazeer baquari ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label mir nazeer baquari ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, June 10, 2009

mir nazeer baquari ki shayyiri

husn ka raaz khula awwale maqlooq ke saath
jo khazana tha niha khul gaya sandooq ke saath
rizq bhi kar diya razzaq ne marzooq ke saath
maarifat ho gayi ashiq ki bhi mashooq ke saath
husn ki awwalo akhir yeh rakhi hadh ussne
apne paikar ka rakha naam muhmmad ussne

mir nazeer baquari ki shayyiri

apni ankhon ke samandar mein utar jaane de
tera mujrim hun mujhe doob ke marr jaane de
ae naye dost main samjhnga tujhe bhi apna
pehle maazi ka koi zakhm toh bhar jaane de
aag duniya ki lagayi hui bhujh jayegi
koi ansu mere daaman pe bikhar jaane de
zakhm kitne teri chahat se mile hain mujhko
sochta hun ki kahun tujhse magar jaane de

mir nazeer baquari ki shayyiri

yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhool gaye
usski galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye
khoob gaye pardes ki apne diwar-o-dar bhool gaye
sheesh mehal ne aisa ghera mitti ke ghar bhool gaye
tujhko bhi jab apni qasmen apne vaade yaad nahin
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gaye
mujhko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye 'nazeer'
meri laash ke pehlu mein vo apna khanjar bhool gaye

mir nazeer baquari ki shayyiri

dhuaan banake fiza mein udha diya mujhko
main jal raha tha kisi ne bhujha diya mujhko
taraqqiyon ka fasana suna diya mujhko
abhi hassa bhi na tha aur rula diya mujhko
main ek zarra bulandi ko chhune nikla tha
hawa ne tham ke zamiin par gira diya mujhko
safed saang ki chaadar lapet kar mujh par
faseel-e-shehr pe kisne saja diya mujhko
khada hun aaj bhi roti ke chaar harf liye
sawal ye kitabon ne kya diya mujhko

wel come