na jaane kaise, rishte badal jaate hain
nazar andaz karke, log nikal jaate hain
hum ajnabi ho koi, waisa dhang hain
woh yuhi saamne se, aaj kal jaate hain
aankhon mein nami liye, hum pesh ho
toh paimaanon mein shole, jal jaate hain
woh samjhe, ki hum hain unnki tarah
jo har thokar ke baad, sambhal jaate hain