kare dariya na pul mismaar[destroy] mere
abhi kuch log hain uss paar mere
bahut din guzre ab dekh aauun ghar ko
kahenge kya dar-o-diiwar mere
vahin suraj ki nazaren thin ziyada
jahan thay pee saayadar mere
vahi ye shahr hai toh shahr waalo
kahan hai kuucha-o-bazaar mere
tum apana haal-e-mahajuuri[sepration] sunaao
mujhe toh kha gaye azaar mere
jinhen samajha tha jaan_paravar main ab tak
vo sab nikale kafan bar_daar mere
guzarte ja rahe hain din hawa se
rahen zinda salamat yaar mere
daba jis se ussi patthar mein dhal kar
bike chehre sar-e-bazaar mere
dariicha kya khula merii gazal ka
hawayein le uddi ashaar mere
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label mahashar badayuni ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label mahashar badayuni ki shayyiri. Show all posts
Monday, June 15, 2009
mahashar badayuni ki shayyiri
ik intzaar sa tha ab nazar mein vo bhi nahin
safar mein marne ki fursat thi ghar mein vo bhi nahin
zara malaal ki zulmat ko taalane ke liye
kai khayaal thay ab toh asar mein vo bhi nahin
jo sang-o-khaar thay meri hi gardishon tak thay
main rahguzar mein nahin rahguzar mein vo bhi nahin
thay chshm-e-baam nagar mein ajab tuluu[dawn] ke rang
vo ik nishaat-e-sahar[happiness] tha sahar mein vo bhi nahin
rahe na kuch bhi magar ye kaif kya kam hai
jis aagahi ki kami thi hunar mein vo bhi nahin

Subscribe to:
Posts (Atom)