gham ke saaye mein ghazal utarti rahi
unnke jaane se jaan nikalti rahi !
unnka aana khua ka aana tha
vo kya jaane, jaane pe jo guzarti rahi !
unnke hi karam se apni duniya thi
vo roothe toh qayamat utarti rahi !
paas hi rahe mere magar baat na ki
ya dam ghut'ta raha, chashm-e-barasti rahi !
kehne ko koi mudda nahin lekin
milne ko jindgi tarasti rahi