qareeb maut khadi hai zara thehr jao
qaza se aankh ladi hai zara thehr jao
thaki thaki si gizayein bujhe bujhe taare
badi udas ghadi hai zara thehr jao
nahi ummid ke hum aaj ki sehar dekhen
ye raat hum pe kadi hai zara thehr jao
abhi na jao ke taaron ka dil dhadakta hai
tamam raat padi hai zara thehr jao
phir isske baad kabhi hum na tumko rokenge
labon pe saans addi hai zara thehr jao
dam-e-firaq mein jii bhar ke tumhe dekh toh lun
ye faisle ki ghadi hai zara thehr jao
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label saif uddin saif ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label saif uddin saif ki shayyiri. Show all posts
Sunday, June 21, 2009
saif uddin saif ki shayyiri
hasrat-e-deed ko tarsa ke chala jaonga
teri ulfat ki qasam kha ke chala jaonga
ik nazar duur se dekhonga dar-o-baam tere
deeda-e-shauq ko tadrpa ke chala jaonga
ik barse huye badal ki tarha guzra hoon
mauj mein aaya toh lehra ke chala jaonga
raat kisi raat musafir hun teri basti mein
shab ka taara hun nazar aa ke chala jaonga
teri ulfat ki qasam kha ke chala jaonga
ik nazar duur se dekhonga dar-o-baam tere
deeda-e-shauq ko tadrpa ke chala jaonga
ik barse huye badal ki tarha guzra hoon
mauj mein aaya toh lehra ke chala jaonga
raat kisi raat musafir hun teri basti mein
shab ka taara hun nazar aa ke chala jaonga
saif uddin saif ki shayyiri
meri dastan-e-hasrat vo suna suna ke roye
mere azmane wale mujhe azma ke roye
koi aisa ahle dil ho ke fasana-e-mohbbat
main usse suna ke roa'un vo mujhe suna ke roye
meri aarzu ki duniya dil-e-natawan ki hasrat
jise kho ke shadman the usay aaj pa ke roye
teri bewafaiyon par teri kuj adayon par
kabhi sar jhuka ke roye kabhi munh chupa ke roye
jo sunai anjuman mein shab-e-ghum ki aap beeti
kai roa ke muskuraye kai muskura ke roye
mere azmane wale mujhe azma ke roye
koi aisa ahle dil ho ke fasana-e-mohbbat
main usse suna ke roa'un vo mujhe suna ke roye
meri aarzu ki duniya dil-e-natawan ki hasrat
jise kho ke shadman the usay aaj pa ke roye
teri bewafaiyon par teri kuj adayon par
kabhi sar jhuka ke roye kabhi munh chupa ke roye
jo sunai anjuman mein shab-e-ghum ki aap beeti
kai roa ke muskuraye kai muskura ke roye
saif uddin saif ki shayyiri
kis tarha rokta hun ashkon ko
kis qadar dil pe jabr karta hun
aaj bhi karzar-e-hasti mein
jab tere shehr se guzarta hun
haal-e-dil bhi na keh saka garche
tu rahi muddaton qareeb mere
kuch teri azmaton ka darr bhi tha
kuch khayalat thay ajeeb mere
aakhir kar vo ghadi aayi
barood ho gaye raqeeb mere
tu mujhe chod kar chali bhi gayi
khaiir qismat meri nasib mere
ab main kyon tujhko yaad karta hun
jab tere shehr se guzarta hun
vo zamana teri mohabat ka
ik bhuuli hui kahani hai
tere koche mein umar bhar na gaye
saari duniya ki khak chaani hai
lazzat-e-qurb ho ke zakhm-e-faraq
jo bhi hai teri meharbani hai
kis tamana se tujhko chaha tha
kis mohbbat se har mani hai
apni qismat pe naaz karta hun
jab tere shehr se guzarta hun
aaj bhi kar zar-e-hasti mein
tu agar ik baar mil jaaye
kisi mehfil mein samna ho jaaye
ya sar-e-raah guzar mil jaaye
ik nazar dekh le mohbbat se
ik lamhe ka pyar mil jaaye
chaiin aa jaaye arzu'on ko
hasraton ko qarar mil jaye
jaane kya kya khayal karta hun
jab tere shehr se guzarta hun
tujhse koi gila nahi
main tujhe bewaffa nahi kehta
tera milna khwab-o-khayal hua
phir bhi na aashna nahi rehta
vo jo kehta hai mujhko awara
main usse bhi bura nahi kehta
varna ik be_nawa mohbbat mein
dil ke lutne pe kya nahi kehta
main toh mushkil se aah bharta hun
jab tere shehr se guzarta hun
kis qadar dil pe jabr karta hun
aaj bhi karzar-e-hasti mein
jab tere shehr se guzarta hun
haal-e-dil bhi na keh saka garche
tu rahi muddaton qareeb mere
kuch teri azmaton ka darr bhi tha
kuch khayalat thay ajeeb mere
aakhir kar vo ghadi aayi
barood ho gaye raqeeb mere
tu mujhe chod kar chali bhi gayi
khaiir qismat meri nasib mere
ab main kyon tujhko yaad karta hun
jab tere shehr se guzarta hun
vo zamana teri mohabat ka
ik bhuuli hui kahani hai
tere koche mein umar bhar na gaye
saari duniya ki khak chaani hai
lazzat-e-qurb ho ke zakhm-e-faraq
jo bhi hai teri meharbani hai
kis tamana se tujhko chaha tha
kis mohbbat se har mani hai
apni qismat pe naaz karta hun
jab tere shehr se guzarta hun
aaj bhi kar zar-e-hasti mein
tu agar ik baar mil jaaye
kisi mehfil mein samna ho jaaye
ya sar-e-raah guzar mil jaaye
ik nazar dekh le mohbbat se
ik lamhe ka pyar mil jaaye
chaiin aa jaaye arzu'on ko
hasraton ko qarar mil jaye
jaane kya kya khayal karta hun
jab tere shehr se guzarta hun
tujhse koi gila nahi
main tujhe bewaffa nahi kehta
tera milna khwab-o-khayal hua
phir bhi na aashna nahi rehta
vo jo kehta hai mujhko awara
main usse bhi bura nahi kehta
varna ik be_nawa mohbbat mein
dil ke lutne pe kya nahi kehta
main toh mushkil se aah bharta hun
jab tere shehr se guzarta hun
Subscribe to:
Posts (Atom)