Showing posts with label meer ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label meer ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, June 23, 2009

meer ki shayyiri

rahi nagufta mere dil mein dastan meri
na iss dayar mein samjha koi zabaan meri
barang-e-saut- e-jaras tujhse duur hun tanha
khabar nahin hai tujhe aah karavan meri
ussi se duur raha asl-e-mudda jo tha
gayi ye umr-e-aziiz aah raaygaan meri
tere firaq mein jaise khayal muflis ka
gayi hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri
diya dikhaayi mujhe toh ussi ka jalwa 'meer'
padi jahan mein ja kar nazar jahan meri

Sunday, June 14, 2009

meer ki shayyiri

zulf latka ke wo jab janib-e-bazar chala
har taraf shor utha maar chala maar chala

Thursday, June 4, 2009

meer ki shayyiri

yaaro mujhe muaaf karo main nashe mein hun
ab do toh jaam khaali hi do main nashe mein hun
mazuur[helpless] hun jo paaon mere betarah pade
tum sar-garaan[annoyed] toh mujhse na ho main nashe mein hun
ya hathon haath lo mujhe jaise ke jaam-e-mai
ya thodi duur saath chalo main nashe mein hun

Monday, June 1, 2009

meer ki shayyiri

ibtida-e-ishq hai rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
qaafile mein subah ke ik shor hai
yaani gaafil hum chale sota hai kya
sabz hoti hi nahin ye sar_zamiin
tukhm-e-khwahish dil mein tu bata hai kya
ye nishan-e-ishq hain jaate nahin
daag chaathi ke abas dhota hai kya
gairat-e-yusuf hai ye waqt-e-aziiz
'meer' issko raayegan khota hai kya

meer ki shayyiri

woh aaye bazm mein itna to 'meer' ne dekha
phir usske baad chiraaghon mein roshni na rahi

Saturday, May 30, 2009

meer ki shayyiri

ab toh hass hass ke lagata hai woh mehndi lekin
khoon rulayega usse rang-e-hina mere baad !!

Tuesday, March 31, 2009

meer ki shayyiri

ज़ख्म झेले दाग़ भी खाए बोहत
दिल लगा कर हम तो पछताए बोहत
दैर से सू-ए-हरम आया न टुक
हम मिजाज अपना इधर लाये बोहत
फूल, गुल, शम्स-ओ-क़मर सारे ही थे
पर हमें उनमें तुम ही भाये बोहत
गर बुका इस शोर से शब् को है तो
रोवेंगे सोने को हमसाये बोहत
मीर से पूछा जो मैं आशिक हो तुम
हो के कुछ चुपके से शरमाये बोहत

meer ki shayyiri

zakhm jhele daagh bhi khaaye bohat
dil laga kar hum toh pachtaaye bohat
dair se suu-e-haram aaya na tuk
hum mizaaj apna idhar laaye bohat
phuul, gul, shams-0-qamar saare hi thay
par hamen unn mein tum hi bhaaye bohat
gar bukaa iss shor se shab ko hai toh
ovenge sone ko ham_saaye bohat
meer se poocha jo main aashiq ho tum
ho ke kuch chupke se sharmaye bohat

Wednesday, March 18, 2009

meer ki shayyiri

hasti apni habeeb[bubble] ki si hai
ye numaaish saraab ki si hai
naazuki uss ke lab ke kya kahiye
pankhadi ik gulaab ki si hai
baar baar uss ke dar pe jaata hun
haalat ab iztiraab[anxiety] si hai
main jo bola kaha ke ye awaaz
ussi khana-kharab ki si hai
"meer" unn neem baaz ankhon mein
sari masti shrab ki si hai

Sunday, December 21, 2008

meer ki shayyiri

जीते-जी कुंचा-ए-दिलदार[प्रिय कि गली] से जाया ना गया उसकी दीवार का सर से मेरे साया ना गया गुल में उसकी-सी जो बू आई तो आया ना गया हमको बिन दोशे-शबा[हवा के कंधे]बाग़ से लाया ना गया कया तुनक[कम]-हौसला थे दीदा-ओ-दिल[आँखें,दिल] अपने आह एकदम[क्षणभर के लिए] राज़ मुहबत का छुपाया ना गया मह[चाँद] ने आ सामने शब याद दिलाया था उसे फिर वो ता-सुबह मेरे जी से भुलाया ना गया गुल ने हरचंद कहा बाग़ में रह, पर उस से जी जो उल्टा तो किसी तरह लगाया ना गया
सर-नशीने-रहे-मयखाना[मदिरालय की राह में बैठा हुआ] हूँ मैं कया जानूं रस्मे-मसजिद के तईं शेख कि आया ना गया खौफे-आशेब से गौगा-ए-क़यामत[प्रलय का शोर] के लिए खूने-ख्वाबीदा-ए-उश्शाक[कत्ल प्रेमियों का सोया खून] जगाया ना गया शहरे-दिल आह अजाब जाय[जगह] थी पर उसके गए ऐसा उजड़ा कि किसी तरह बसाया ना गया जेरे-शमशेर-सितम[अत्यचार कि तलवार] "मीर" तडपना कैसा सर भी तस्लीम-मुहबत में हिलाया ना गया

meer ki shayyiri

jeete-ji kooncha-e-dildaar[premi ki gali] se jaaya na gaya
usski deewar ka sar se mere saaya na gaya
gul mein usski-si jo buu aai toh aaya na gaya
humko bin doshe-saba[hawa ke kandhe] baagh se laya na gaya
dil mein reh dil mein ki memare-kaza[God] se ab tak
aisa matbu'aa[wished] makaan koi banaya na gaya
kya tunak[less]-hausla thay deed-o-dil[eyes,heart] apne aah
ekdam[palbhar ke liye] raaz muhabat ka chhypaya na gaya
maah[chaand] ne aa saamne shab yaad dilaya usse
phir vo ta-subah mere jii se bhulaya na gaya
gul ne harchand kaha baagh mein reh, par uss din
jii jo ulta toh kisi tarah lagaya na gaya
sar-nasheen-e-rah-e-mahkhana[madirayla ki raah mein baitha] hun, main kya jaanu rasm-e-maszid ke tayin shekh ki aaya na gaya khauff-e-aasheb se googa-e-qaymat [parlaye ka shor] ke liye khun-e-khwabeeda-e-ushshaak[sleeping blood of killed lovers] jagaya na gaya shehr-e-dil aah azab jaae[jagah] thi par usske gaye aisa ujda ki kisi tarah basaya na gaya zer-e-shamsheer-e-sitam "meer" tadpana kaisa sar bhi tasleem-e-muhabat mein hilaya na gaya

meer ki shayyiri

देख तो दिल कि जां से उठता है यह धुंआ-सा कहाँ से उठता है गोर[कब्र] किस दिलजले कि है यें फलक शोला इक सुबह यां से उठता है खाना-ए-दिल से जीनहार[हर्गिज़] ना था कोई ऐसे मकां से उठता है बैठने कौन दे है फिर उनको जो तेरे आस्तां[चोखट] से उठता है यूँ उठे आह उस गली से हम जैसे कोई जहाँ से उठता है इश्क एक "मीर" भारी पत्थर है कब यें तुझ नातवां[कमज़ोर] से उठता है

meer ki shayyiri

dekh toh dil ki jaan se uthta hai yeh duaan-sa kahan se uthta hai gaur[kabar] kis diljale ki hai ye falak shola ik subah yaan se uthta hai khana-e-dil se zeenhaar[hargiz] na tha koi aise makaan se uthta hai baithne kaun de hai phir unnko jo tere aastaan[chokhat] se uthta hai yun uthe aah uss gali se hum jaise koi jahan se uthta hai ishq ek "meer' bhaari pathar hai kab ye tujh natvaan[kamzor] se uthta hai

Monday, November 24, 2008

meer ki shayyiri

हस्ती अपनी हबीब[बुब्ब्ले] की सी है
ये नुमाइश सराब की सी है
नाज़ुकी उस के लब के क्या कहिये
पंखडी इक गुलाब की सी है
बार बार उस के दर पे जाता हूँ
हालत अब इजतिराब[anxiety] सी है
मैं जो बोला कहा के ये आवाज़
उस्सी खाना-ख़राब की सी है
"मीर" उन् नीम बाज़ आँखों में
सारी मस्ती शराब की सी है
*
hasti apni habeeb[bubble] ki si hai
ye numaaish saraab ki si hai
naazuki uss ke lab ke kya kahiye
pankhadi ik gulaab ki si hai
baar baar uss ke dar pe jaata hun
haalat ab iztiraab[anxiety] si hai
main jo bola kaha ke ye awaaz
ussi khana-kharab ki si hai
"meer" unn neem baaz ankhon mein
sari masti shrab ki si hai

wel come