mere kuuche mein qadm aap jo aa kar rakhte
hum bhi raahon mein dil-o-jaan bichha kar rakhte
tum agar itni izazat hamen de dete kabhi
teri tasveer ko hum dil mein saza kar rakhte
kaash izhaar-e-waffa kar diya hota ham ne
yun na jazbaat ko hum dil mein dabba kar rakhte
hamen jo mallum jo hota teri sazishon ka kabhi
ham raqiibon se bhi kuch baat bana kar rakhte
mere iss dil ki tadap tumne jo samjhi hoti
tum kabhi yun na mujhe door hata kar rakhte
mil hi jaati jo khabar gar tere aaane ki hamen
hum tere vaste kuch saansein bacha kar rakhte
inn sazaon ka toh mallum nahi tha varna
roz mehshar ke liye karam kamaa kar rakhte
kaash ham hote shuknavaar kabhi aseem jaise
apne shairon se dar-o-baam hila kar rakhte
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label asim ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label asim ki shayyiri. Show all posts
Wednesday, June 24, 2009
Tuesday, June 23, 2009
asim ki shayyiri
ek baar usse pucha tha tumhara kaun hun
vo boli mujhe dillagi pasand nahi 'asim'...!!!
vo boli mujhe dillagi pasand nahi 'asim'...!!!
Tuesday, June 2, 2009
asim ki shayyiri
dil shikshta hun koi geet sunaaon kaise ?
meer-o-mehfil hi nahi bazm sajaaon kaise ?
apni pehchan toh halaat mein kho baitha hun
be-nishan ho ke tere saamne aaon kaise ?
behte paani ki tarah mujhko ranwaan rehna hai
apni fitrat ke taqazon ko bhulaaon kaise ?
mujhko sochon ki aseeri se rehai na mili
teri awaaz mein awaaz ko milaaon kaise ?
kab se jaari hai meri ruuh mein kirnoun ka safar
baat dil ki tere adraak mein laaon kaise ?
main toh khud teergi-e-shab ka musaffir hun
koi shama teri raahon mein jalaaon kaise ?
dil ke viraane mein kyun mujhko sada dete ho
main gaya waqt hun ab laut ke aaon kaise ?
ghar ke jalne ka sabab puchh rahe ho 'asim'
shab ujaalon ki sharooat bataaon kaise ?

Subscribe to:
Posts (Atom)