Showing posts with label moen ahsan jazbi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label moen ahsan jazbi ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, September 16, 2009

sarv-o-saman bhi

sarv-o-saman bhi, mauj-e-naseem-e-sahar bhi hai
ae gul tere chaman mein koi chasm-e-tar bhi hai ?
kuchh der pii le kakul-o-aariz ki chhaaon mein
jaadu-e-shaam bhi hai, fusoon-e-sahar bhi hai
duniya sune toh qissa-e-gham hai bohot taveel
haan tum suno toh qissa-e-gham mukhtasar bhi hai
ab shayaran-e-hind mein jazbi, jigar ke baad
ye sochta hoon main koi saahib nazar bhi hai...

Friday, June 5, 2009

moen ahsan jazbi ki shayyiri

marane ki duayein kyun maangun zeene ki tamana kaun kare
ye duniya ho ya vo duniya ab khwahish-e-duniya kaun kare
jo aag lagai thi tumne ussko toh bhujhaya askhon ne
jo ashkon ne bhadkaai hai uss aag ko thanda kaun kare
jab kashti saabot-o-saalib thi, sahil ki tamana kisko thi
ab aisi shikasta kashti mein sahil ki tamana kaun kare
duniya ne hamen choda ae dil, hum chodna de kyon duniya ko
duniya ko samjh kar baithe hain ab duniya duniya kaun kare

wel come