rukh-0-zulf par jaan khoya kiya
andhere ujaale mein roya kiya
kahun kya hui umar kyunkar basar
main jaaga kiya bakht[luck] soya kiya
rahi sabz be-fikar kasht-e-sukhan
na jota kiya main na boya kiya
maza gham ke khane ka jisko pada
veh ashkon se haath apne dhoya kiya
zankhda'n[ठुडी] se 'aatish' muhabat rahi
kuye mein mujhe dil duboya kiya
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label khawaja aatish ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label khawaja aatish ki shayyiri. Show all posts
Saturday, April 11, 2009
khawaja aatish ki shayyiri
kab tak veh zulf deti hai aazaar[कष्ट]dekhiye
kat'ti hai kis tarah se shab-e-taar dekhiye
bimaar-e-ishq marte hain iss ishtiyaak[इच्छा]mein
pii jaaiye jo sharbat-e-didaar dekhiye
रगबत[prem] ki aankh daaliye zar'ron ki tarah se
roshan jo aaftab-sa rukhsaar dekhiye
jaate hain ku-e-yaar se hum aise hoke tang
kaba bhi ho toh phir ke na zinhaar[हरगिज़] dekhiye
ahista paanv rakhiye, qaymat na kijiye
thokar se fitne[परेशानी] hote hain, bedaar[जागना]dekhiye
bulbul ki tarah ishq jo humko chaman se ho
soa jaaiye toh khwab mein gulzaar dekhiye
kaz'zaak[डाकू]ki nigah se kam apni nigah nahin
kya lootiye jo daulat-e-didaar dekhiye
aaishq masiah[चिकत्सक]bhi tumhen kehte hain mehrbaan
haal usska puchhiye jise bimaar dikhiye
aalam[संसार]ki sair kijiye 'aatish' milega yaar
yusuf[beautiful] jo chahen aap toh bazaar dekhiye

kabhi jo zajba-e-muhabat se kaam hota hai
naqaab ult'ta hai diddar-e-aam hota hai
uthaun kis liye ehsaan yaar gardan par
mera toh usske tagfuul[la-parwahi] se kaam hota hai
khuda ki yaad jawani mein ghafilon kar lo
vagrna waqt-e-fazlilat[imp.] tamaam hota hai
kisi ko kya koi ghar apne dil mein karne de
nagi'n se dekh le bar-aks[ulta] naam hota hai
koi zamane se jaata hai koi aata hai
kisi ka kuuch kisi ka mukaam hota hai
fansa jo zulf mein uss gul ke murg-e-dil bola
na thi khabar yeh ki sambuul[घास] bhi daam[jaal] hota hai
hamare halka mein karta hai sheesha dil khali
hamare daur mein labrez zaam hota hai
bala-e-bazm jahan hai veh chasm-ki-gardish
nigah phirti hai daura tamaam hota hai
mulzimon mein hain sultan-e-ishq ke hum bhi
kabhi hamara bhi 'aatish' salaam hota hai

aankh aaine se tune jo ladai hoti
raat bhar meri tarah neend na aayi hoti
taare-sambuul[घास] koi kehta ha, rag-e-gul koi
kamar-yaar jo hoti toh dikhayi hoti
sahib-e-zarf[kind] jo hota na hamare dil-sa
do jahan mein na muhbat ki samayi hoti
chasm-e-bulbul se jo ehbaab[frd] nazara karte
bu-e-gul perhan-e-yaar se aayi hoti
sahal chhutna nahin uss raayat-e-jaan[lover] ka 'aatish'
ruuh-0-kaalib mein hai mushkil se judai hoti

muhabat kodiyon ke ho agar mol
bani adam na le yeh dard sar mol
azab daulat hai yeh ehsaan iss se
bashar[insan] ko bhi le leta hai bashar mol
yeh husn-e-yaar ne keemat badhai
na tha yusuf ka varna iss kadar mol
pasand dil hua hai husn-e-surat
falak beche toh le shams-0-kamar mol
bhrosa zindgani ka nahin kuch
kafan le rakh ae 'aatish' bashar mol

shab-e-furkat[judai] mein yaar jaani ki
dard pehlu ne meharbani ki
munh dikhao bohat rahi takraar
arni[dikhao]-O lantrani[nahi dikhate] ki
kamar-e-yaar ho gayi gayab
sun ke dhoom apni naatvaani[weakness] ki
sere[sad] nemat se do-jahan ki kiya
de ke shabnam ko boond paani ki
misl-e-shabnam[like dew] hun, saaf dil kaana[satisfied]
mujhko dariya hai boondh paani ki
rahat-e-marg[marne ki khushi] ko na pooch 'aatish'
na rahi kadar zindgani ki

Tuesday, March 17, 2009
khawaja aatish ki shayyiri
कोई इश्क़ में मुझसे अफजूं [अधिक] ना निकला
कभी सामने होके मजनूं ना निकला
बड़ा शोर सुनते थे पहलु में दिल का
जो चीरा तो इक कतरा-ए-खूं ना निकला
बजा कह्ते आए हैं हेच [तूच्छ] इसको शायर
कमर का कोई हमसे मजमूँ ना निकला
हुआ कौन-सा रोजे-रोशन ना कला
कब अफसाना-ए-जुल्फे-शबगूं [काले बालों कि कहानी] ना निकला
रहा सालहा-साल जंगल में 'आतिश'
मेरे सामने बेद-मजनूं [पेड़ का नाम] ना निकला

koi ishq mein mujhse afzoon [zayda] na nikla
kabhi saamne hoke maznoo na nikla
bada shor sunte thay pehlu mein dil ka
jo cheera toh ek katra-e-khoon na nikla
bazaa kehte aaye hain hech issko sayar
kamar ka koi humse mazmoon na nikla
hua kaun-sa roz-e-roshan na kala
kabh afsana-e-zulfe-shabgoon na nikla
raha salha-saal jungle mein 'aatish'
mere saamne bed-maznoo na nikla
kabhi saamne hoke maznoo na nikla
bada shor sunte thay pehlu mein dil ka
jo cheera toh ek katra-e-khoon na nikla
bazaa kehte aaye hain hech issko sayar
kamar ka koi humse mazmoon na nikla
hua kaun-sa roz-e-roshan na kala
kabh afsana-e-zulfe-shabgoon na nikla
raha salha-saal jungle mein 'aatish'
mere saamne bed-maznoo na nikla
Subscribe to:
Posts (Atom)