Showing posts with label sikandar ali wajd ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label sikandar ali wajd ki shayyiri. Show all posts

Friday, June 5, 2009

sikandar ali wajd ki shayyiri

khush-jamaalon ki yaad aati hai
be-misaalon ki yaad aati hai
baais-e-rashk[cause of envy]-e-mah'r-o-maah thay jo
unn hilaalon[new moon] ki yaad aati hai
jinse duniya-e-dil munavvar[luminous] thi
unn ujalon ki yaad aati hai
jinki aankhon mein tha suroor-e-ghazal
unn ghazlon ki yaad aati hai
saadgi laa-jawab hai jinki
unn sawalon ki yaad aati hai
zikr sunte hain nau-jawani ka
kuch khayaalon ki yaad aati hai
jaane wale kabhi nahin aate
jaane walon ki yaad aati hai
'wajd' lutf-e-sukhan mubaarak ho
baa-kamaalon ki yaad aati hai

wel come