Showing posts with label amir minaai ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label amir minaai ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

surat teri dikha ke

surat teri dikha ke kahunga ye roz-e-hashr
aankhon ka kuch gunah, na dil ka qasoor tha

Tuesday, July 7, 2009

amir minaai ki shayyiri

usski hasrat hai jise dil se mitaa bhi na sakun
dhundhne ussko chala hun jise pa bhi na sakun
daal kar khaak mere khoon pe qaatil ne kaha
kuch yeh mehandi nahin meri ke mita bhi na sakun
zabt kambakht ne aur aa ke gala ghonta hai
ke usse haal sunaaun toh suna bhi na sakun
usske pehlu mein jo leja ke sula dun dil ko
niind aisi usse aaye ke jaga bhi na sakun
naqsh-e-paa dekh toh lun laakh karunga sajde
sar mera arsh nahin hai ki jhuka bhii na sakun
bewaffa likhte hain vo apni kalam se mujhko
ye vo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun
iss tarah soye hain sar rakh ke mere zaanon par
apni soyi hui qismat ko jaga bhi na sakun

amir minaai ki shayyiri

sarkati jaaye hai rukh se naqaab aahista-aahista
nikalta aa raha hai aaftab aahista-aahista
jawan hone lage jab vo toh ham se kar liya parda
haya yak_lakht aayi aur shabab aahista-aahista
shab-e-furkat ka jaaga hun farishton ab toh sone do
kabhi fursat mein kar lena hisab aahista-aahista
sawal-e-wasl par unnko uduu ka khauff hai itna
dabe honton se dete hain jawab aahista aahista
hamare aur tumhare pyar mein bas farq hai itna
idhar toh jaldi jaldi hai udhar aahista aahista
vo bedardi se sar kaate 'ameer' aur main kahun unn se
huzoor aahista-aahista janab aahista-aahista

amir minaai ki shayyiri

kah rahi hai hashr mein vo aankh sharmaai hui
haaye kaise iss bharii mehafil mein ruswaai hui
aaiine mein har ada ko dekh kar kehte hain vo
aaj dekha chahiye kis kis ki hai aayi hui
keh toh ae gul_chiin asiiraan-e-qafas ke vaaste
tod lun do chaar kaliyan main bhi murjhaai hui
main toh raaz-e-dil chhupaun par chhipa rehne bhi de
jaan kii dushman ye zaalim aankh lalchaai hui
gamza-o-naaz-o-ada sab mein hai haya ka lagaao
haaye re bachpan ki shokhi bhi hai sharmaai hui
wasl mein khaali hui raqiibon se mehafil toh kya
sharm bhi jaaye toh jaanun ke tanhaai hui
gard udi aashiq ki turbat se toh jhunjhla ke kaha
vaah sar chadhane lagi paanv ki thukaraai hui

amir minaai ki shayyiri

jhonka idhar na aaye nasiim-e-bahaar ka
nazuk bahut hai phuul charagh-e-mazar ka
phir baithe baithe vaada-e-wasl uss ne kar liya
phir uth khada hua vahi rog intzaar ka
shaakhon se barg-e-gul nahin jhadte hain baag mein
zevar utaar raha hai uruus-e-bahaar ka
har gul se laalazaar mein ye puchhta hun main
tu hi pata bata de dil-e-daagdar ka
iss pyar se fishaar diya gor-e-tang ne
yaad aa gaya maz mujhe aagosh-e-yaar ka
hitii nahin hawa se chaman mein ye daaliyan
munh chuumte hain phuul uruus-e-bahaar ka
uthta hai naaza mein vo sarhaane se ae 'ameer'
mit'ta hai aasra dil-e-ummiid_var ka

amir minaai ki shayyiri

jab se bulbul tune do tinke liye
tuut'ti hai bijaliyan inn ke liye
hai jawaani khud jawaani ka singaar
sadgi gehana hai uss sinn[age/period of life] ke liye
kaun virane mein dekhega bahaar
phuul jangal mein khile kin ke liye
saari duniya ke hain vo mere siva
maine duniya chhod di jin ke liye
baagban kaliyan hon halke rang ki
bhejni hain ek kamsin ke liye
sab hasiin hain zaahidon ko napasand
ab koi huur aayegi innke liye
wasl ka din aur itna mukhtsar
din gine jaate thay iss din ke liye

amir minaai ki shayyiri

ishq mein jaan se guzarte hain guzarne wale
maut ki raah nahin dekhte marae wale
aakhiri waqt bhi puura na kiya vaada-e-wasl
aap aate hi rahe marr gaye marne wale
uthe aur kuucha-e-mahboob mein pahunche aashiq
ye musafir nahin raste mein theharne wale
jaan dene ka kaha maine toh hans kar bole
tum salamat raho har roz ke marne wale
aasman pe jo sitaare nazar aaye 'ameer'
yaad aaye mujhe daag apne ubharne wale

amir minaai ki shayyiri

hans ke faramaate hain vo dekh kar haalat meri
kyon tum aasan samjhte thay muhabbat meri
baad marane ke bhi chhodi na rafaqat meri
meri turbat se lagi baithi hai hasrat meri
maine aagosh-e-tasavvur mein bhi khencha toh kaha
pis gayi pis gayi bedard nazakat meri
aaiin subah-e-shab-e-wasl jo dekha toh kaha
dekh zaalim ye thi shaam ko surat meri
yaar pehlu mein hai tanhaai hai keh do nikle
aaj kyon dil mein chhupii baithi hai hasrat meri
husn aur ishq ham_aagosh nazar aa jaate
teri tasviir mein khinch jaati jo hairat meri
kis dhitaa_ii se vo dil chhiin ke kehte hain 'ameer'
vo mera ghar hai rahe jis mein muhabbat meri

amir minaai ki shayyiri

banda navaaziyon pe khuda-e-kariim tha
karta na main gunah toh gunah-e-aziim tha
baaten bhi ki khuda ne dikhaya jamaal bhi
vallaah kya nasiib janaab-e-kaliim tha
duniya ka haal ahal-e-adam hai ye mukhtasar
ik do qadam ka kuuchaa-e-ummid-o-biim tha
karta main dardmand tabiibon se kya rajuu
jis ne diya tha dard bada vo hakiim tha
samaan-e-ufv kya main kahun mukhtasar hai ye
banda gunah_gar tha khaaliq kariim tha
jis din se main chaman mein hua khvaah-e-gul 'ameer'
naam-e-saba kahin na nishan-e-nasiim tha

amir minaai ki shayyiri

achchhe isaa ho mariizon ka khayal achchha hai
ham mare jaate hain tum kehte ho haal achchha hai
tujhse maangun main tujhi ko ki sab kuch mil jaaye
sau savaalon se yahi ek sawaal achchhaa hai
dekh le bulbul-o-parwana ki betabi ko
hizr achchha na hasiinon ka wisal achchha hai
aa gaya usska tasavvur toh pukara ye shauq
dil mein jam jaaye ilaahii ye khayal achchha hai

Sunday, June 28, 2009

amir minaai ki shayyiri

phir usski shaanekarimi ke hausle dekhe
gunahgaar ye keh de gunahgaar hun main

Monday, June 22, 2009

amir minaai ki shayyiri


illahi kya illaka hai vo jab leta hai angdayi
mere seene ke sab zakhmon ke taanke toot jaate hai

Saturday, June 6, 2009

amir minaai ki shayyiri

pachhtaa rahe hain khuun mera kar ke kyun hazoor ??
ab iss pe khaak daaliye, jo kuchh huwa huwa !!!!

Thursday, May 7, 2009

amir minaai ki shayyiri

chark mukhalif, bakht hai vaazun[ulta], koi nahi umid ki surat
haath uthaye khaak dua ko, bandh jo paayen baab-e-asar hum

Thursday, April 30, 2009

amir minaai ki shayyiri

guzishta khaak-nashinon ki yaadgar hun main
mita hua sa nishan-e-sar-e-mazaar hun main
nigaah-e-karam se mujhko na dekh-e-dozakh
khabar nahin tujhe kis ka gunahgaar hun main
phir usski shaan-e-karimii ke hausle dekhe
gunahgaar yeh keh de gunahgaar hun main
bade maze mein guzarti hai bekhudi mein ,amir'
khuda voh din na dikhaye ki hoshiyaar hun main

Friday, April 17, 2009

amir minaai ki shayyiri

baki hai 'amir' ab toh fakat jaan ka jana
hosh-o-khirad-o-taab-o-tawan ja chuke kab ke

amir minaai ki shayyiri

baki hai 'amir' ab toh fakat jaan ka jana
hosh-o-khirad-o-taab-o-tawan ja chuke kab ke