kah rahi hai hashr mein vo aankh sharmaai hui
haaye kaise iss bharii mehafil mein ruswaai hui
aaiine mein har ada ko dekh kar kehte hain vo
aaj dekha chahiye kis kis ki hai aayi hui
keh toh ae gul_chiin asiiraan-e-qafas ke vaaste
tod lun do chaar kaliyan main bhi murjhaai hui
main toh raaz-e-dil chhupaun par chhipa rehne bhi de
jaan kii dushman ye zaalim aankh lalchaai hui
gamza-o-naaz-o-ada sab mein hai haya ka lagaao
haaye re bachpan ki shokhi bhi hai sharmaai hui
wasl mein khaali hui raqiibon se mehafil toh kya
sharm bhi jaaye toh jaanun ke tanhaai hui
gard udi aashiq ki turbat se toh jhunjhla ke kaha
vaah sar chadhane lagi paanv ki thukaraai hui
No comments:
Post a Comment