Showing posts with label anwar masood ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label anwar masood ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009

jis tarah ki hain ye diwaaren ye dar jaisa bhi hai

jis tarah ki hain ye diwaaren ye dar jaisa bhi hai
sar chhipaane ko mayassar toh hai ghar jaisa bhi hai
ussko mujhse mujhko uss se nisbaten hain beshumaar
meri chahat ka hai mahavar ye nagar jaisa bhi hai
chal pada hun shauq-e-beparvah ko murshad maan kar
rasta pur_pech hai ya pur_khatar jaisa bhi hai
sab gawara hai thakan saari dukhan saari chubhan
ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
vo toh hai makhsuus ik teri mohabbat ke liye
tera 'anwar' ba_hunar ya be_hunar jaisa bhi hai

Wednesday, July 8, 2009

anwar masood ki shayyiri

raat aayi hai balaaon se rihaai degi
ab na diwar na zanjiir dikhaai degi
waqt guzra hai pa[par] mausam nahin badla yaaro
aisi gardish hai zamiin khud bhi duhaai degi
ye dhundlaka sa jo hai ussko ganiimat jaano
dekhna phir koi surat na sujhaai degi
dil jo tuutega toh ik turfa tamasha hoga
kitne aaiinon mein ye shaql dikhaai degi
saath ke ghar mein bada shor barpa hai 'anwar'
koi aayega toh dastak na sunaai degi

anwar masood ki shayyiri

jis tarah ki hain ye divaaren ye dar jaisa bhi hai
sar chhipane ko mayassar toh hai ghar jaisa bhi hai
ussko mujhse mujhko uss se nisbaten[expectations] hain beshumar
meri chahat ka hai mahavar[focus] ye nagar jaisa bhi hai
chal pada hun shauq-e-beparvah ko murshad[guide] maan kar
rasta pur_pech[full of turns] hai ya pur_khatar[dangerous] jaisa bhi hai
sab gavara hai thakan saari dukhan saari chubhan
ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
vo toh hai makhsuus[special] ik teri mohabbat ke liye
tera 'anwar' ba_hunar ya be_hunar jaisa bhi hai

wel come